BHIM App Kya Hai Or Kaise Istemal Kare ?

-

How To Use Bhim App In Hindi ? How To Activate – register Your Bank Account For Bhim App ? Digital Payment Ko badhava Dene Ke Liye PM Narendra Modi ne UPI System BHIM Application Ko Lunch kiya Hai. Khas bat Ye Bina internet Use kiya Jane wala UPI Bhim Android App Hai. Online Money transfer, Money Receive Karne Ke Liye India Me Lunch Kiya Gaya Hai. Aap Is cashless Transaction App Download Karke, BHIM App Account Banake – Activate Karke Use kar Sakte Hai.

Is Aap0 se Aap Bina Internet Use karke paise transfer karna , Online Payment, Kisi Ke pas Se paise lena Wo Sabhi work Aap Bina Kisi IFSC Code , Bank Account Details Se Kar Sakte hai. Is App Ko National Payments Corporation of India (NPCI) Ne Develop Kiya Hai. To BHIM App Security – Safety Bhi Strong Milne wali hai.

What Is BHIM App ? Bhim App Kya hai Jankari Hindi

BHIM App Kya Hai activate

Is App Ka Pura Name Hai ” Bharat Interface For Money “. Ye UPI-based payment system Pe Work Karnewala App hai. Digital Payment, Cashless Transaction Ke Liye government of India ne Lunch kiya Hai. Is App Se User Bina Internet Kai banks Ke Kam Ghar baithe Kar Sakte hai. Aadhaar Card se Judi ye Cashless Payments App ( भीम एप्प )India Ke Logo Ko Cashless Transactions Me Bahot Sahayata karne Wali hai.

BHIM App Download Kaise Kare ?

BHIM Android Application Hai. Ise Google Paly Store Pe Rakha Gaya hai. Aap Apane Mobile me Play Store Se Download Kar Sakte Hai. Agar Aap Direct Download Link Chahte hai to yahan Click Kare :

Bhim App Istemal kaise kare ?

Agar Aap Chahte Hai ki Online banking Ke Liye BHIM App Ka Use karna Hai to Sabse pahle Aapko Ye App Apane Mobile Me Download Aur Install Kar Leni Chahiye. usake Registration karna hai.

How to Use BHIM App Details in Hindi?

  1. Download And Install App
  2. Register Bank Account – Verify Mobile Number
  3. SetUp UPI PIN
  4. Add Mobile Number To Payment Address
  5. Complete BHIM UPI APP Registration

AB In Sabhi Prossec Ko Step By Step Samajte hai.

BHIM App Activate Registration Kaise kare ?

  • Sabse Pahle App Ko Open Kare Aur Language Select Kare. NEXT Pe Click kare.
  • Welcome ka message aayega. Fir Do Bar Next Pe Click kare.
  • Ab ” lets get started “ ka button dikhai dega. ise click – Tap kare.
  • Ab Mobile Number Verification Ke Liye Kaha Jayega. next ke button pe click kare.

Note : Aapka Mobile Number Wo Use Kare Jo bank Account Se Link Kiya Gaya Ho. Appak Android Mobile Version Bhi Update Hona Chahiye. Kai Mobile me ye App Abhi Work Nahi Karegi. Aapke Bank Register SIM Number Pe balance Bhi Hona Chahiye. kyuki Aapke Mobile me BHIM APP se MSG Janewala hai.

  • ab aapke mobile number pe ek sms bheja jayega.
  • Aur Aapka Mobile Register Ho jayega.
  • Bad Me Aap Apana UPI PIN Set Up Kare.
  • Aapka BHIM App Activate Ho Gaya.

BHIM App Future In Hindi

BHIM App Se Kya Kar Sakte Hai ?

  • Bina internet kam karega ye app
  • Bank IFSC code ki jarurat nahi.
  • UPI based payment system hai.
  • Hindi or English dono language use kar sakte hai.
  • QR code Scann kar ke bhi paise transfer kar sakte hai.
  • Android phone par kam karega ye App.
  • Sabse pehle apko apne Bank Account ko Bhim application se link karna hai.bad me paise transfer
  • kar sakte hai.
  • Ek hi bar apko Account number add karna hai,bad me aap sirf phone number se money transaction kar sakte hai.
  • 1 din me meximam Rs 20,000 tak paise transfer kar sakte hai.
  • Bank Balanse enquri kar sakte hai.
  • USSD code *99# ko connect kar bina BHIM App se internet paise transfer kar sakte hai.

BHIM app se payment kaise kare?

  • Pahle APP Ko Open kare. PIN Add kare.
  • yaha par agar aap paise transfer karna chahte hai,to send money par click kare.
  • Jisko money transfer karna chahte hai uska mobile Number,Aadhaar card number yato
  • payment Address pasand karna hai.
  • Amount fill karni hai.
  • jese hi aap amount fill karoge,to apko waha linked Account number display hoga.
  • Send money par click kar paise transfer kar sakte hai.

Extra Inning :

Ab Aapko Samaj Aa Gaya Hoga Ki BHIM Application kya Hai. BHIM UPI Application Activate kaise Kare ? How To Use App.

Aaj Hi ( date ; 30-12-2016 ) Ko ye App Narendra Modi Ne Lunch kiya Hai. Aap Bina internet cashless Transaction karna Chahte hai to Ise Use kare. BHIM App Activate kare. Aap Aasani Se paise Transfer kar Sakte hai. Payment Kar Sakte hai. paise Pa Sakte hai.

Social Media Pe Ise Jyada Se Jyada Share kare. Koi Bhi Saval hai to Co9mment Me bata Sakte hai.

HindiHelpguru FB Page jarur like kare >>

Recommended for You
You may also like
Share Your Thoughts

127 comments

  • ROHIT KHANAL

    maine bhim app 6month se use kar raha hu but abhitak koi cash back nahi milraha hai kiya sach mai bhim paise dega ya fir jhut hai mara transiction bhi bahut huwa hai replay

    • HindiHelp Guru

      Aap Khud Use Kar Rahe hai to cashback Nahi dega. Aap Dusaro ko Reffer Karenge Tab Cash back Milta Hai. Ab Google Tez App Aa Gaya Hai. Ise Istemal Kare aur Jyada se Jyada Cash back paye.

  • ROHIT KHANAL

    sir 14 october ke badh bhim app se kiya hoga koi new massage hai to bataye bhim ke baremai

  • rohit khanal

    sir aaj Maine ek ko bhim sikhaya uske bhim app se Maine apne account mai payese bheje referel save karne ke liye us referel ke jaga mai Maine aapni mobile number apply kardiya sir koi to nahi huwa na bataye please

    • HindiHelp Guru

      wait kare , agar aapane sahi me BHIM ko reffer code se Shikhaya Hai to aapko paise Milenge.

  • rohit khanal

    sir agar mai kisiko bhim app download karaoke sikhau to referal code mai mera mobile number dhalna hai kiya uske badh mujhe paise milenge aur usko milegi ya nahi

  • rohit khanal

    sir bhim ke baremai koi school nahi hai kiya mai sikharaha hu koi school hoti to bodiya hota sikhanene ke koi paise milte salary ke tour par iski to school honi chahiye

  • rohit khanal

    sir per transaction mai 10 rupiya Milne ki bat kahi thi sarkar narendra modijee ne kia mai Jan sakta hu kitna tak transaction karne par milega

  • rohit khanal

    referral code kitni bar dhalna padta hai mera matlab jab jab transaction hoga tab dhalna hai ya fir ek bar mai save for futur karne se hoga

    • HindiHelp Guru

      ek hi bar save karle. lekin ise change na kare.

  • rohit khanal

    OK thank you sir ek sabal hai kiya ham referral code mobile number ke joga mai aadhar number nahi dhal sakte hai kiya

    • HindiHelp Guru

      abhi To Koi Option Nahi Hai, Aadhar Number Nahi Use Kiya Ja sakta. Aap Direct Friends Se Share Kar Payenge.

  • rohit khanal

    referral code keise milega uska istemal keise kare puri jankari chahate hai uske badh ham kam chalu karenge

    • HindiHelp Guru

      Shayad Aapne Article Ko Puri tarah padha Nahi Hai. Isame Sabkuchh Bata Diya Hai.

  • rohit khanal

    modiji ne 14/4/2017 me kaha ki sabko bhim app sikhaow 10 rupia karke milega mai ye janna chahat hu ki keise pata chalega kisne kisko sikhaya keise account mai poyese Aa jaenge man lijiye 100 logoko bhim aap sikhaya to keise patta logaoge keise jaldi bataye janne ke badh hi mai kam karunga

  • Rajendra

    Sir Namste kya Bhim app se mobile phone recharge Kar sakte he or DTH please batao

  • Jassu negi

    Upi set krne k liye card k 6 digit or card date mang ra m card use nhi krta to kese set kru sir

  • rohit khanal

    sir lucky drow kab hoga aur kiaya ghosit ki hai sarkar ne Paytm use karne walo ko bhi lucky drow mei liya Goya hai kiya?

    • HindiHelp Guru

      Article Me Padhe. Lucky Drow Ho Raha Hai.

  • rohit khanal

    sir aaj Maine 2000 transfer karna chaha nahi huwa 3 bar tak kiya fail huwa but amount cut huwa bata rahahai amount check kiya borabor hai kiya bad mai kahi mera bank balance to cut nahi hoga sir

    • HindiHelp Guru

      kai Frriends ko Ye problem huyi hai. maine Comment me bataya hai ise padhe.

  • rohit khanal

    sir bhim app she money transfer karne se kitna charge cut karte hai kitna bank tak ka charges free hai kitna bank mai transfer charge ke bare mai bataye

    • HindiHelp Guru

      BHIM app Aapse Koi Charge nahi Leta. But Aapka bank money transfer ka Charge Leta Hai. sbi me 50,000 tak transfer ke rs. 5 lagte hai.

  • Shekhar

    1. bhim app se doosre bank ke account me paise kaise transfer karna hai ?
    2. agar hum by mobile kisi ko paise send karte hai to kya uske mobile mein bhi bhim app hona chhaiye kya ?

  • samod kumar

    Mene bhim apps SE 2 febaadaar number ke duara transaction kiya tha lakin transaction pending me hai me kya karu

    • HindiHelp Guru

      Pending Hai to koi Problem nahi hai. aapake paise safe hai. jab payment receive ho jayega. transaction complete ho jayega.

  • pravin singh

    agr kisi dusre bank account ko connect karna ho to

    • HindiHelp Guru

      BHIM app Me Bank show hoti hai isape click karo aur isake option me jao. vahan change account ka option diya hai.

  • rohit khanal

    guruji namaskar log kahete hai Ghar Boyethe internet se pause komaw kya app ko lagta hai ye possible hai agar hai to please bataye keise sari internet mai yehi holchal mach rahi hai jabse totebandi hui hai

  • Ram Leel

    Jis a/c m paise geya h wo kisa ka bhi a/c No nahi. H to wo paise kha jata h

    • HindiHelp Guru

      account Number Ke Bina Paise transfer Nahi hote. ya fir BHIM aap Me Mpin se Jate Hai.

      • Ram Leel

        Yedi Name or IFSC code right h or a/c No rong/ invalid h to paise terasfer ho jaata h kya

        • HindiHelp Guru

          kai bar ho jate hai. example : ek hi bank me do account hai. dono ke name same hai. ek hi branch hai to ifsc code bhi same hoga. 1 a/c no : 45455633188 aur dusara a/c no : 45455633190 hai. ho sakta hai. dono a/c no. ek hi branch me ho.

          • sachin

            Sir mera bank show nhi ho rha h kya kru mera bank state bank of Hyderabad hai show nhi ho rha

          • HindiHelp Guru

            BHIM app me abhi sabhi banks available nahi hai. wait karo.

  • Arun

    sir , bhim app se prathma bank me moneytransfer nhi ho rha kya kre

    • HindiHelp Guru

      jo banks add nahi huyi hai wo bad me add ho jayegi. aap app version bhi updates kar le.

  • Ram Leel

    Jis a/c m paisa gaye h wo all over indina m kis bhi bank ka a/c No nahi h to kya paise vapes aa skekta h kya bank manger n betaya ki paise 2-3 din m vapes aa jayga Kya mera paise vapes aa sekta h kya bank manger n betaya ki ydi IFSC code ya a/n No me se ak koisa bhi rong dalne s paise nahi ketga ydi paise ket bhi geya h to vapes aa jayga kya y ho sekta h

    • HindiHelp Guru

      Bhale hi Manager ne Aapko Bataya Ho ki paise wapas aa Jayenge. lekin muje nahi lagata Hai ki wapas Aayenge.

  • Ajay chaturvedi

    [email protected] PR mere 10000rs transfer PR ho bye h vapas kaise prapt karu help me anyone.

  • rohit khanal

    sir mujhe paise ghar bhejna hai mera a/c se do bar bhej chuka hu lekin is bar nahi ja raha hai bahut din se try kar raha hu transaction cancel batA raha hai balance bhi nahj dikba raha hai kiya karu help me sir

    • HindiHelp Guru

      App Server problem Ki Vajah se aisa hota Hai. Aap Fir Se Try kare.

  • mona

    ye internet ke bina ni chlta he kya

    • HindiHelp Guru

      nahi abhi internet ke bina nahi chal sakta hai.

  • Ram Leel

    Mera se a/c No miss match hone se Rs invalid a/c me gaya ab mujhe kya kerna pedga jis s mera a/c m Rs. Vapes as jaya

    • HindiHelp Guru

      Aapki Galti ke karan Paise cut gaye hai. ab vapas Nahi Aa Sakte. only ek way hai agar aapne galti se jise paise de diye hai wo wapas de to ho sakta hai.

  • Deepak tyagi

    jab mai payment send karta hu to , beneficiary payment address incorrect bata ta hai,
    kya bhim aap , bhim app to bhim app payment send ya recv. karta hai .

    • HindiHelp Guru

      yes, Bhim App Se payment send – resive hota hai. aapka payment address galat dalte hai.

  • rohit khanal

    sir mera balance check kar raha hu nahi dikharaha hai transaction cancel aata hai bar bar

    • HindiHelp Guru

      server problem ya network problem ki vajah se aisa hota hai. fir try kare.

  • sunil kumar

    Sir bhim app se pement karne ka koi sulk v liya jata hai kya

    • HindiHelp Guru

      nahi, bilkul free hai. ha, agar aapka Bank Charge Leta Hai to wo bat alag hai.

  • Akash kumar

    Bhai jab Maine apne papa ke account me paise transfer Kiya tab failed hi gaya air paise bhi deduted KAR DIYA solve my problem.

    • HindiHelp Guru

      aisa hone ke 3 reasons hai. 1. agar aapne galat details add kiaya ho.
      2. Security Problem ho ya fir
      3. network problem ho sakta hai.
      aapke bank account se paise debit ho gaye hai to 2-3 din me add ho jayenge. but galat details add karne se dusare account me chale gayae hai to vapas nahi mil sakte.

  • Manoj panchal

    Sir Kya ham is app se mobile recharge nahi kar sakte

    • HindiHelp Guru

      nahi kar sakte . aap Mobile Recharge Ke Paise BHIM app Se De Sakte Hai.

  • rohit khanal

    nahi ho raha hai sir

    • HindiHelp Guru

      bank account balance check kare.

  • rohit khanal

    fir se try kiya but same option mil raha hai kya karu sir ji mujhe paisa vejna hai bhim app se do bar huwa kahi mera amount doubal to nahi jayega

  • rohit khanal

    sir Maine account number dhalke name fill karke ifcs code fill karke 1000 amount pay kiya but failure bata raha hai kya karu

    • HindiHelp Guru

      Fir se try kare. kai bar server problem aa jati hai.

  • rohit khanal

    sir mera mobile me bhim active hai mai mere account se mera Bhai ka account mai vejna chahata hu Lenin send money mai clik karke dekha Lekin amount ka koi option nahi mujhe 1000 bhejna hai kiya karu sir

  • deepak mourya

    Sir, Maine bhim app instal kiya hi lekin mera number verify nhi ho RHA hi or mera non.bank me reg.bhi hai

    • HindiHelp Guru

      kai user ko ye problem hoti hai. aap fir try kare. aur aapke register mobile se hi net chalaye.

  • Abdul Khan

    Sir bhim app bharose ka he kya?

  • vikas solanki

    jaise ek din k andr 20,000 rs send krne ki limit hai bhim app k andr vaise hi receive krne ki bhi limit hai kya ya unlimited hai limit receive krne ki ……….

    • HindiHelp Guru

      BHIM app Se Money Receive Karne ke Liye Koi Limit Nahi hai.

  • Pinku

    Sir bhim aap se judne ke liye mujhe apane bank jana hoga kya mera number bank se juda hai ATM se paisa nikalta hoon to massage aata hai

    • HindiHelp Guru

      BHIM app Activation ke liye Bank Jane Ki Koi jarurat nahi hai.

  • mayank Rana

    UPI no.kaise.pata kare bhim app se

    • HindiHelp Guru

      bro aapko ye yaad rakhna tha. aap BHIM app ko Un-Install Kar De aur Bad Me Fir Se download and Use Kare.

  • Shyam singh

    Sir mera UPI pin nahi ban pa raha h.
    Jab me card detail dalata hu to incorrect detail batata h.
    Mene SBI , obc bank me or icici m account h.
    Sabhi ka bari-bari Chek kar liya h.

    • HindiHelp Guru

      aap pahle to ye check kare ki aapka mobile number bank account me link hai ya nahi. aap bank account option me jake dekhe kahi kaho MPIN generae ho bhi gaya ho. fir hi problem solve na ho to app app un-install kar de. fir s download kare aur setup kare.

  • rohit khanal

    lucky grahak banne ke liye kiya karna padega keise kare aap bataye please ek month mai kitna karna padega aur kiya inam milega mera bhim app kiya rang layega suru karne she pahele jankari bohut joruri hai

    • HindiHelp Guru

      Aapko sabhi Information article me di gayi hai. fir se check kar le.

  • Naveen

    Sir mere bank account se link koi dusra number hai par aPp ne automatically 1st number select kr liya or vo number me kuchh bhi link ni hua hai or dusra options ni aa rha hai kya kru?
    And very nice your tutorial.

    • HindiHelp Guru

      to fir Aapka BHIM app Activate Nahi Hoga. Pahle Aapka Koi Bhi Mobile Number Bank Account se Link Karvaye Bad Me Fir Se BHIM app activate karvaye.

  • PAWAN SARASWAT

    MAINE BHIM APP DOWNLAD KIYA. LAKIN BHUL SE GALAT BANK SELECT HO GAYA , JISKE KARAN MOBILE NO VERIFY NAHI HO RAHA H KYA KIYA JAYE

    • HindiHelp Guru

      App Ko Uninstall Kar de. aur Fir Se try kare.

  • rohit khanal

    thank you so much sir for advice sir apana bank ditails keise dekhe kiya ham bhim app ke jariye mobile recharge aur dish TV recharge kar payenge?

    • HindiHelp Guru

      Bhim Aap me Aapke Transaction Ka option hota Hai. Bhim Aap Se Mobile Recharge , Dish TV recharge nahi hota , but isaka Payment shop me Aap Bhim App Se kar sakte hai.

  • rohit khanal

    sir otp number select nahi ho raga hai bar bar error generation Aa raha hai kya karna padega

    • HindiHelp Guru

      Kya Aap Jo Number Se BHIM app Activate karna Chahte Hai wo Bank Account se Link Hai ? check kare. agar hai to Fir se Try Kare. ho jayega.

  • rohit khanal

    mil Goya sir lekin ek option aaraha hai ki your bank did not return any account for your mobile number. but mera number mai hamesa with row karte samay msg aata hai ise number pe

    • HindiHelp Guru

      Fir Bhi Aap Apanae Bank Branch Me jake Mobile Banking Ke Liye Apply Kar Digiye. kai banks aapki Agreement ke Bina Net banking Allow Nahi Karti hai.

  • rohit khanal

    sir new bhim app download kar liya bank of India nahi mil rahahai keya karu

    • HindiHelp Guru

      Bank Of India BHIM app me available Hai. Aap Apana Mobile Number Is bank Account Se Link Hai ya Nahi Wo Check kar lijiye.

  • Kamlesh Kumar Yadav

    Sir mai MPIN nahi set kr pa raha hu pls. Help me.

    • HindiHelp Guru

      BHIM app Me Pin Settings Problem kya aa rahi hai ? ye Bataye. aapko Ye Pin 4 digit ka Koi Bhi Add karna hai > example : 1727

  • rohit khanal

    mera bank of India mai account hai Maine bhim download karke veryfy kar liya lekin bank of India ka koi bank nehi mila selek bank mai

    • HindiHelp Guru

      Aap Google Play Store Se BHIM app Ko Updates karlo. Bad Me Bank Select Karo.

  • San

    Sir bank select hi nhi kr rha hai…error aa rha h sbi bank h mera

    • HindiHelp Guru

      Fir Se check kare, Aapka Bank Select ho gaya Hoga. aur aap fir se bar bar try karte honge isliye error dikha raha hoga.

  • Mangaldeep chauhan

    Very good application for India people

  • Ashad

    Mujeh OPT nhi mil rha h

    • HindiHelp Guru

      BHIM app Me OTP Nahi Milta Hai aako PIN Set karna Hai Jo Aap Koi Bhi 4 Digit PIN Set kar Sakte hai.

  • manpreet

    Sir call karke jankari le sakhta BHIM APP k bare main

    • HindiHelp Guru

      Bro, BHIM Customer Care Number ya Koi Contact – tall Free NO. nahi hai but app Isaki website se contact kar sakte hai. koi saval hai to Puchh sakte hai.

  • manpreet

    Jo no. Bank main diya hota ha kya vhai no. Mobile main hona chaheye uske bina j app kam kare ga k nhi

    • HindiHelp Guru

      YES, BHIM app Registration – activation ke liye bank se link Mobile Number Mobile me Hona Jaruri hai.

  • manpreet

    Sir ager ek he mobile no. Te 2 account chalde hon vakh vakh bank de to fir 2 no. He add ho jan ge ess apo main plz help me
    Mera ek account ek SBI DA HA aur ek AXIS BANK DA HA

    • HindiHelp Guru

      Yes Ho sakta Hai. aap one Mobile Number Kai bank Account ke Liye Use kar Sakte hai.

  • Santosh kumar

    Mere rajister no.se Massage NAHI ja raha hai Kya Kare sir

    • HindiHelp Guru

      Shayad Aapka Mobile Number Bank Account Se Link Nahi Hoga. Aap *99# use Karke Dekhe. aapko pata chal jayega Ki aapka Mobilr Number Bank account se link hai Ya Nahi.

  • shashikant Kushwaha

    Ye upi pin kya hai

    • HindiHelp Guru

      Aapke BHIM App Ka Password hota Hai jo App Add karte Hai.

  • ram tiwari

    UPI pin code kya hai,ise kaise prapt kiya jata hai

    • HindiHelp Guru

      BHIM App Me UPI PIN prapt nahi karna Hai. aapko 4 digit Ka Password Banana Hai.

  • anuj verma

    mere mobile micromax unite 3(Q372) pe no sim card ditected dekha raha hain. plz help me how to install this app.

    • HindiHelp Guru

      Bro App Pahle Pata karle Ki Aapke bank Account Se register Mobile Number ka Use aap Bahi kar rahe hai. ho Sakta Hai aapka Mobile Number bank se link na Ho. ya fir App Is Mobile Me 2 SIM Use kar rahe hai to Settings Me Jake Defult SIM kar de.

  • Tejas Bhirud

    Mistakenly I have created 3 payment address so how can I delete 2 from it?
    1 payment address will be used from one bank or for different bank accounts?

    • HindiHelp Guru

      Not a problem delete It.
      Last created to address you used for receive payment.

  • DILIP SINGH

    BHIM UPI PIN kiya hai?UPI PIN ko kaise set kare?

    • HindiHelp Guru

      BHIM app UPI-PIN (UPI Personal Identification Number) 4 digit ka hota hai.jab BHIM app me registration karoge to UPI pin create karna hoga.Agar UPI app use karte hai,or UPI pin set kiya hai to yaha par bhi wo pin use kar sakte hai.wo Aapke BHIM app ke Password aur OTP ki tarah kam karega. Ye PIN kisi ke Sath Share Na kare.

  • zuber

    mobil no bank me link kaise karna h

    • HindiHelp Guru

      Aap Jab kisi Bhi namk Me Account Open karte Hai. Tab Aapka mobile Number Liya jata hai. wo mobile number aapka activation Number hota hai. halaki kai banks Bina aapko Puchhe Is number Ko aapke account ke sath Link nahi karte hai. agar aapke mobile Number pe bank ke SMS aate hai to wo Aapka bank account Se Link kiya gaya Number hai.

Leave a Reply