How to Use SBI Buddy App In Hindi

-

SBI Buddy Wallet app kaise Use – Istemal kare? State Bank Buddy Information details in Hindi. State Bank Of India Ne Apane Customer Ke Liye Mobile Banking App – wallet Banaya Hai. Isaka Name Hai : ” SBI Buddy ” Ye App Ko Aap apane Smartphone Me Download karlo to Aapka Phone Bhi Bank aur Batua Ban Jayega. Aap Ghar Baithe Hi apane Bank Account ki amount Ko Use kar payenge. SBI Buddy app Kaise Activate kare ? kaise Use kare ? Buddy App Me Paise kaise Add Kare ? transfer kaise kare ? Is Sabhi SBI Buddy App Details  Hindi Me- Jankari Ko HindiHelpGuru ne Is Article Me Bataya Hai.

SBI Buddy App Se Kya Kar Sakte hai ?

Sabhi Banks Apane Customer Ko Net banking, Mobile Banking Ki servisec Provide karti hai. Sabhi Bank Ka UPI app – Android App – IOS App Bhi Hota Hai. is tarah Kai Bank wallet Bhi Deti hai. SBI ka Ye wallet app hai. Isase Aap kai kam ghar baithe kar sakte hai. ye app Safe aur Secure Bhi hai. cashless transaction ke Liye ye badhiya Option hai.

Future Of State Bank Buddy :

  • Ask Money : SBI account ke bina Bhi aap Money pa Sakte hai.
  • Add Money : Aap apne Buddy wallet me money add kar sakte hain
  • Send Money : Kisi bhi mobile number jo buddy app supported hai usko money send kar sakte hain
  • Money transfer : Kisi bhi bank account me IMPS se money send kar sakte hain
  • Transfer to a/c : Apne Buddy wallet me Full KYC enable kar Rs.50000 rakh sakte hain Rs.50000/ day aap send kar sakte hain Rs.1,00,000 monthly aap send kar sakte hain money
  • Recharge and Pay Bills : Mobile recharge, train ticket booking, movie booking bhi kar sakte hai.

How to Use SBI Buddy app In Hindi?

Follow Step by Step:

  1. Download and install SBI Buddy
  2. Sign Up State Bank Buddy
  3. Verify and Setup PIN
  4. Login Buddy App
  5. Add money – Debit card and Net Banking
  6. Send – Transfer  Money
  7. Mobile Recharge And Bill pay

Ab In sabhi Procces Ko Step by Step Follow Kare Aur jane Ki SBI Buddy App Kaise Istemal Kiya jata Hai.

1. Download and install SBI Buddy

Sabse pahle Aapko SBI Buddy App Download Karna Hai. Aap Ise Google Play Store Se Download kare. Download Link yahan Diya Hai .

Agar Aap Apple iPhone Use Hai to aapko State Bank Buddy Ka IOS App Download Karna Hai.

Downlod Ho jane Ke Bad install aur Open Kare.

2. Sign Up State Bank Buddy

  • App ko Open Karte Hai aapko Language Select karne ka Option Dikhai Dega.
    apana Language Select kare.

how to use sbi buddy app

  • bad Me Sign Up Page open Hoga. Isame aapki details add karke sign Up kare.
  • apana Mobile Number Add kare.
  • Email Address Dale.
  • First Name – Last Name Add kare.
  • Date Of Birth Add kare.
  • Sign UP pe Click kare.

Ye Bhi Padhe :

3. Verify and Setup PIN

  • Sign Up ( Register ) karte Hi aapke mobile Number pe OTP bheja jayega.
    Otp Enter kare.
  • Buddy app Pin Setup activate
  • 4 Digit PIN Do bar Add kare. ye Pin aapko log in karne ke kam Aayega.
  • Aap Security Queastion Bhi select kar sakte hai. agar aap PIN bhul Jate Hai to Is Queastion – Answer Option se bhi Login kar payenge.
  • Bad Me term and condition ko Accept kare.
  • Submit Pe Click kare.

Aap Is tarah SBI Buddy App Activate – Register kar sakte Hai.

Also Read :

4. Login Buddy App

  • ab Aapke Sabne Login Ka option Aa Jayega.
  • abi buddy app login
  • 4 digit PIN enter kare aur Login Pe clik Kare.
  • Aap successfully Buddy App login Ho jayega. Aapko Buddy App ka home Page Dikhai Dega.

5. SBI Buddy App Me Money Kaise Add Kare ?

Is Wallet Ka Use – Istemaal Karne Ke Liye Wallet Me Paise Hone Chahiye Tab Aap Kuchh Bhi Kar Sakte Hai. paise Aapko Apane bank Account Se Add karne Padte Hai. ab Dekhte Hai ki ” How To Add Money for State Bank Buddy App

  • Sabse pahle Buddy App Me Diye Add Money Option Pe Click Kare.
  • New Page open Hoga Isame Amount Enter kare.

buddy me paise kaise add kare

  • bad Me Money Add karne Ke 2 option Aapko Milte Hai. 1. Net banking 2. Debit Card
  • Aap Debit Card ka Option Select kare. aur Continue Pe Click kare.
  • Ab naye Page Me Aapka Debit Card Select karna Hai. Aapka Debit Card Kis Type ( Visa / Rupay ) Ka hai wo Select Kare.
  • bad me Make Payment Button Pe Click kare.
  • Debit Card Select karne Ke bad Top Bank Pe click kare aur Aapka bank Select kare.
  • add money wallet buddyDebit Card Number Enter kare. jo card Ke Upar 16 digit Me likha Hota Hai.
  • Expiration Date add kare. ( Aapke Card Pe Valid Up Likha Hai wo Date )
  • CVV / CVC Number Add kare. ( jo aapke Debit Card pe pichhe ke Hisse me 3 digit me likha Hota Hai. )
  • Card Holder Name Me card dharak Ka Name Add Kare.
  • Last me Make Payment Ke Button Pe Click Kare.
  • ab New Page open Hoga. Isame one time Password ( OTP ) add Karna Hai.
  • Aapke Mobile Number Pe OTP Aaya hoga Wo Enter kare.
  • Submit Pe Click kare.
  • Don…!! Aapne successfully SBI Buddy App Wallet me Money Add kar li hai.

Note : Aap apne Buddy wallet me Full KYC approve karke Rs.50,000 tak add kar sakte hain, Full KYC ka matlab hota hai apne Netbanking account se Buddy App (connect) link karna. Full KYC kaise enable kare yah main aage bata raha hu.

Agar aapne Full KYC nahi kiya hai to aap keval Rs.5000-10000 add kar sakte hain apne wallet me.

Useful :

6. Use Buddy App other Option

Ab Aapke State Bank Buddy Wallet me paise Add ho gaye hai to Aap In paiso ko Kisi se bhej Sakte Hai. isake Liye send Money Ka option Select kare. jise bhi paise bhejna chahte hai usaka details add karke paise bheje. mobile number add karke bhi paise bhej sakte hai but paisa panewala Bhi SBI Buddy App Istemal Karta hona Chahiye.

Ask Money option Se Aap Kisi ke pas Se Paise mang Sakte hai. Recharge aur bil pay ke option Se Mobile Recharge Aur Bill Payment Kar sakte Hai.

Comming Soon ..

  • SBI Buddy App Se kisi bhi Bank account me paise transfer kaise kare ?
  • kisi ko bhi Mobile Number Pe Money transfer kaise kare ?
  • Net banking se SBI Buddy App FULL KYC Enable Kare?

Extra Inning :

Mobile Banking Karne Ja Rahe Hai to Isake liye Kuchh Savdhani Bhi rakhni Padegi. Aap Online Banking Security Tips Ko Jarur Padh Le.

Aapko Ye Article ” SBI Buddy App kaise Use kare ? ” kaisa Laga Jarur bataye. agar aap Koi Step follow Karne Me Problem Aati Hai to hame Comment Me Jarur Bataye. Is Article Ko Social Media Pe Share Kare.

Buddy App Related Koi Saval hai to Comment Me Batayae . HindiHelpguru FB page like Jarur Kare.

Recommended for You
You may also like
Share Your Thoughts

8 comments

  • Birendra

    Sbi buddy me dhan kaise jode v kaise bheje samajhh nahi aa raha he pls reply me

    • HindiHelp Guru

      Isame add Money ka Option diya hai. ise use karna hai. ATM card ka Number, valid up date dalna hai, cvv number dalana hai. aapke registered mobile number par msg aayega. ISame OTP code hoga. ise add karne ke baad money add ho jayegi.

  • sadananda mallik

    sir mera indian bank mese rs150 kat gaya walet me transport karne katime.

    • HindiHelp Guru

      waite karo. koi Problem hai to vapas aa jayega.

  • devanand

    Are bhai ek baat batao buddy se mobile bill pay kiya buddy se paise cut gaye mobile bill pay nahi hua

    • HindiHelp Guru

      kya aapne mobile number recharge kiya tha ya fir koi biil pay kiya tha. agar mobile number recharge karte hai aur ye offer aapke number pe available na ho to aisa hota hai. ya fir buddy app ki koi problem huyi hai to aapko paise 2-5 din me vapas mil jayenge.

    • Mahendra kumar patel

      Isme comission hota hai ki nahi , isme fayda hai ki nahi hai kuch rupaye kama sakte hai kya . my Whatsapp no. 9174626960

      • HindiHelp Guru

        sorry Is Aap Se aap Paise nahi kama Sakte.

Leave a Reply