SBI Bank Account ko Aadhar Card link Kaise Kare

-

how to link aadhaar with sbi bank account in Hindi Jankari. Aadhar Card Sabhi Indian Person Ke Liye Jaruri Document – Proof Ban Gaya Hai. government bhi Aadhar Card ko Kai scheme se Judane Ja Rahi Hai. Aapke Mobile Me Bhi Bank Ka SMS Aaya Hoga Ki Aadhar Card ko Bank Account Se Link Kare. Sabse pahle LPG gas cylinder subsidy Ko Apane Bank Account Me receive Karne Ke Liye Bank Account Se Aadhar Card Link Karna Jaruri Ho Gaya tha. Ab Bank wale Bhi KYC se Liye Aadhar Card Mang Rahe Hai. aanewale Dino Me Sabhi Bank Account Ko Aadhar Card Se Jodne Ka government Of India Soch Rahi Hai. SMS karke BHi Aadar card Bank Account Se Link Kiya Jata Hai. Isake Alava Online Banking , Mobile Banking App Se Aadhar Card Link Kar Sakte Hai. Aap ATM Machine Se Bhi Aadhar Card Bank account se Link Karva Sakte Hai.

Is Article Me Aapko Aadhar Link Karne Ke Available Sabhi Option Provide Kiye Gaye Hai. Is Tricks Se Aap Aasani Se Aadhar card Ko Bank Account Me Link Kar Sakte Hai. Bina Aadhar card LPG gas cylinder subsidy Bank Account Me Pane Ka Tarika Bhi Aapko Bataya Gaya Hai. Ise Step By Step Follow Kare Aur State Bank Of India ( SBI ) me Aapka Account Hai to Aadhar Card Link kar sakte Hai.

Aagar Aap bank Gaye Bina SBI Account Ko Aadhar Card Se Link Karvana Chahte Hai to Ye Sabse Easy tarika Hai. Aap Apane Mobile Se Aadhar card Link Karva Sakte Hai. Isake Liye Aapka Mobile Number Bank Account Se Link Hona Chahiye.

  • Message box open kar.
  • new message par tap kare.
  • Yahan Diye Format Me Message type Kare.
  • UID<space>aadhaar number<space>account number
  • Is Message Ko 567676  Pe Send Kar de.

Is Tarah Aadhar Card Link Hone Ke Bad Aapko confirmation message receive Hoga. 2-3 Day Lag Sakte Hai. Kabhi Turant Ho Jata hai.

Follow This Step:

  1. sabse pahle onlinesbi.com par jakar apne net banking account par login kare
  2. My Account tab par click kare.
  3. Link Your Aadhaar Card Number Option par click kare
  4. apna bank account number select kare
  5. uske baad Aadhaar card number enter kar Submit kar de.

link aadhaar card to sbi bank account

Agar Aap Aadhar Card Ke Bina Bhi LPG gas cylinder subsidy Ko SBI Bank Account Me Pana Chahte Hai to Is Step Ko Follow Kare.

  1. Net banking account me login kare.
  2. Yaha My Account par click kare
  3. My Account me Link Your LPG Customer ID ki link par click karna hai.
  4. Ab apna account select kare aur LPG customer ID enter kare aur Submit kar de.

Note: LPGcustomer ID aapki LPG book me Likha Hota Hai. Check Kare Aur Enter kare.

Freedom app with Aadhar Card Link

  • SBI freedom App Open Kare, Log In Kare.
  • Option Menu Me Se Request option Pe Click Kare.
  • Ab Aapko Aadhar Seeding Ka Option Dikhai Dega Ise Click Kare.
  • next screen me apna account select kare.
  • aadhar card number enter kar Link par click kare.

Is Tarah Aap SBI Mobile Banking Use Kar rahe Hai to Aap Simple Step Follow Karke Aadhar card Link Kar Sakte Hai. SBI Anywhere app Me Bhi Aadhar Card Ko SBI Bank Account Se Link Karne Ka – Jodane Ka Option Diya Hota Hai.

Follow This Step And Link Aadhaar Card

  1. ATM Me Jaye aur ATM card swipe kare.
  2. PIN entre kare aur login kare.
  3. Services tab par tap kare
  4. Services me Registrations par Click kare
  5. Registration me Aadhar Registration par click kare.
  6. apna account select kar aadhar numer enter kar link kare.

Is Tarah Agar Aap SBI ATM Machine se Aadhar Card Link Karna Chahte Hai to Kar sakte Hai.

Useful Article :

Is Tarah Aap yahan Diye Sabhi Option se Aadhar Card Number Ko SBI Bank Account Se Link Kar Sakte Hai. Aapko Jo Easy – Simple Lage ye Tarika Apanaye. Isake Alava PNB, HDFC, ICICI, BOB, Dena Bank, Axis Bank, BOi Bank Accoune Se Aadhaar Card Link Karne Ka Tarika Bhi Baya Jayega. Aap Ye Tips Sirf SBI Bank Account se Aadhar Card Link Karne Ke Liye Use Kare.

Agar Aap Offline Aadhar card Link Karvana Chahte hai to Aapko Bank Branch Me Jana Padega. Aapko Isaka Form Fill Karna Padega. Application Form se Aap Aadhaar card Ko Lik Karva Sakte Hai. PDF Application Form Download Kare.

Extra Inning :

Is Website Pe Aapko short and Sweet Tips And Tricks Di Jati Hai. apka Aur Hamara Time Bhi Save Hota Hai. Banking related aur Kai Article Bhi Hamne write Kiye Hai. Ise Bhi Padhe.

Aapko Ye Article ” SBI Bank Account ko Aadhar Card link Kaise Kare? ” Kaisa Laga Jarur Bataye. Pane Friends, Family Ke sath Social Site Pe Share Jarur kare.

Banking relkated Koi Saval hai to Comment Me Bataye.

Daily New Updates Pane Ke Liye Aap Email enter Karke Subscribe Kare , Ya Fir Hamara HindiHelpGuru facebook Page Like Kare.

Recommended for You
You may also like
Share Your Thoughts

4 comments

  • Rashika

    Ghar Baithe SBI Account Ko To Link Kar Liya Hai Par Kya BOB aur Exis Bank account Ko aadhaar se link Karne Ka Tarika Bata Sakte Hai ?

    • HindiHelp Guru

      abhi to hamane Sabhi Bank Account Ko aadhar Se Link Karne Ke Bare me nahi post Kai hai. kuchh Din Bad Sabhi Bank account ke liye Method Di Jayegi.

  • sunita

    pradhan mantri awas yojana के लिए कैसे अप्लाई करे.Pradhan Mantri Awaas Yajana Kyu Banaye Gaye Hai .
    Pradhan Mantri Awaas Yajana un logo ke liye banaye gaye hai jo garib log aapna ghar lene
    ki soch rahe hai but paiso ki wajah se apna ghar nahi le pa rahe hai.
    Padhan Mantri Awaas Yajana ka hissa banane ke liye kya kya योग्यता hone chaiye.

    • HindiHelp Guru

      Aapka Saval kya Hai wo Bataye.

Leave a Reply