How to Prepare Exam in Hindi – Exam Ki Taiyari Kaise Kare – 10 Tips

-

Welcome to ” best way to study for exams Tips and Prepare ” Pariksha – Exam Ki taiyari kaise kare ? ye Kisi Bhi Student Ke Mind me Aanewala Question hai. HindiHelpGuru Ki Teacher Team Aapko ” prepare Exam In Hindi ” Ke Bare Me Top 10 Study Tips Batane Ja Rahi Hai. SSC, HSC, School , College or Competitive exam preparation me Help Karegi. 

Ham Pure sal Mehnat – Exam Taiyari karte Hai Fir Bhi Jab Exam room me Dakhil Hote Hi Sabkuchh Bhul jate hai. Ham Top rank Nahi la Pate. Kai bar Sabkuchh karne Ke bad Bhi fail Ho jate Hai. HindiHelpGuru Ki ye “ Prepare Exam Tips ” Aapko Success banane Me help karegi. Ye Mera Wada hai.

how to Prepare Exam in Hindi ?

Follow Step to Study Tips :

  1. Preparation of mind
  2. Time Management
  3. Priority of the subject
  4. Read Old question paper
  5. Create Short Note
  6. Writing Practice
  7. health care
  8. Preparation of Previous day
  9. your Success – Your Prepare Exam
  10. Extra Inning Tips
 _ _ _ _ _#1._Preparation_of_mind_:_ _  ">

          #1. Preparation of mind :     

Kisi Bhi Work Me Success Pane ke Liye Sabse Jyada ” Preparation of mind ” Significant hai. agar aap ka man Taiyar hai to Samjo Aap Aadha Jang Jit Gaye. Isliye sabse Pahle Exam Ke Liye Encouraging Kar Le.

Jab Koi Student ne pure sal achhi padhai nahi ki hai to exam ka time aate hai wo Naseepas aur Nervous Ho jata Hai. sabhi student Ke Liye aisa hota hai. Lekin prepare exam ke Liye aap mind ko Preparation kar le.

Prepare Exam in Hindi

  • daily yoga aur Concentration badhane ka prayas kare.
  • Pariksha me Pass Hone Ki Jaruriyat ko Samaje.
  • Exam Se Aapki Puri life Ka Career Banane Wala Hai wo Na Bhule.
  • Education aur exam Ka chance Life me Ek bar Hi Milne wala Hai wo Yaad rakhe.
  • ” aaj nahi to kabhi nahi ” Is bat Ko Samaj Le.
  • Prepare Exam ke liye Initiative badhale.
 _ _ _#2._Time_Management_:_ _ _  ">

      #2. Time Management :       

ab Soche Ki Aapki Exam Date kya hai ? Kitane Din Bache Hai ? Kitana Courses – syllabus hai. Kitane Subject Me Padhai Karni hai ? Iske Aadhar Pe Is Exam Stydy Time Table bana Le.

  • Time Table Me Weak Subject Ko Priority De.
  • Daily 2-3 Subject Ki taiyari karne ka Study planning kare.
  • Kitane Hours Study karna Chahte hai wo bhi Plan kar Le.
  • Is Time Me Aapko aur koi work karna hai ya nahi wo bhi soch le.
  • Bache Time me Sabhi Subject Ko divide kar de.
  • Prepare Exam Time Table me Last Subject ki taiyari pahle rakhe.
 _ _ #3._Priority_of_the_Subject_Issue_: ">

     #3. Priority of the Subject Issue : 

Mai ye bat Fir se Bata raha Hu kyu Ki Student Kisi ek subject me fail hota hai to Dusare subject me Pass Hone Ka koi matlab nahi rahta. agar kisi subject ke topic me koi Issue hai to Ise Note kare. Isake Liye Study time table me bhi Priority De. Kisi Subject ke chapter me Koi Doubt lag raha hai to Ise jarur Dhyan Me rakhe.

 _ _ _#4._Read_Old_question_paper_:_ ">

      #4. Read Old question paper :  

Aap School me kai bar exam De chuke Hai. aapne kai bar anubhav kiya hoga ki question paper me kai aise question hote hai jo aapne subject – Syllabus me dekhe tak nahi hote hai.

maine kai bar exam paper banane ka work kiya hai. isame 5% to 10% aise question liye jate hai jisaka Student ko koi Idea na Ho. Stunning or smart Student Ke liye ye hota hai. Isliye Prepare Exam me Aapko Mai Old question paper reading karne ki Salah Deta Hu.

  • Sabhi Subject me Kis tarah Ke question puchhe jate hai wo check kare.
  • objective, Long answer, short answer, Vacancy type, Grammar kis type ka hota hai wo dekh le.
  • Competitive Exam – 10 – SSC, 12 – HSC ke liye question paper model check karna jaruri ho jata hai.
  • Kis type ke question ke kitane ank -marks hote hai wo dekh le.
  • Ye sab karne se aapko Idea Aayega ki hame Prepare Exam study planning karni hai.
 _ _ _#5._Create_Short_Note_:_ _ _ ">

      #5. Create Short Note :      

vaise to Exam Kisi bhi subject ki mind memory check karne ka Source hai. kai student Complaint karte hai ki sabkuchh yaad hone ke bavjud exam time aate bhul jata hai. kuchh yaad nahi rahata. kya kare ?

kai bar aapke pas exam preparations ke liye time one week 2 week one – two dey ka time hi hota hai. less time me jyada padhai karne ke liye ” Create Short Note ” best idea hai.

  1. sabhi subject ke liye short note banaye.
  2. shortnote me Most IMP question aur Isake short answer likhe.
  3. short note me aisa content likhe jo aapko yaad na rahta ho.
  4. answer ke points ki short note aapko kaise use karni hai wo mai next Option me batata hu.
 _ _ _ _#6._Writing_Practice_:_ _ _ ">

        #6. Writing Practice :      

50% student school me muje ye batate hai ki sir, muje is question ka answer malum tha but, time nahi raha. jyadatar exam me 3 ghante ka time hota hai. is time me sabhi question ke answer kaise likhe Prepare Exam me bahot jaruri ho jata hai. aapki good handwriting skill bhi aapko top la sakti hai. isaki jankari ke liye ye padhe :

  • Exam Ke Liye Aapki Likhawat Ka Kya mahatva hai ?
  • aap old question paper ki Practice kare.
  • 3 Hours me aap kitana likh pate hai wo idea aa jayega.
  • kis question ke liye kitana time dena hai wo bhi aapko malum ho jayega.
  • Aap Is tarah Prepare Exam room Time Menagement ke liye taiyar ho jayenge.
 _ _ _#7._Health_Care_Tips_:_ _ _  ">

      #7. Health Care Tips :       

  • Exam ke dino aapki tabiyat – helth ka bhi khayal rahe.
  • agar aapki helth achhi nahi rahegi to aap ye sab step follow nahi kar payenge.
  • ye sab ” Prepare Exam ‘ ke bad bhi helth me koi problem aa gayi to aap exam nahi de payenge.
  • daily yoga – vyayam karna na bhule.
  • Night time me jyada Der tak study work na kare.
  • Khane me Bhi Dhyan rakhe.
  • bad Me ye Jarur padh Le : Bimario se bachne ke liye kya kha ye ? 
 _ _#8._Preparation_of_Previous_day_: ">

    #8. Preparation of Previous day : 

man lo kal aapki exam hai to aaj kya karna chahiye ? kal mathematics subject ki exam hai to aaj kya taiyari kare ? aise saval aape dimag me jarur aayenge.

  1. Aapne jo short notes banayi hai wo aapki aaj help karegi.
  2. sabse pahle ek bar shortnote padh le.
  3. bad me Kuchh time free rahe . fir Prepare Exam – study karne lage.
  4. exam ke kuchh ghanto pahle ( 1 – ya 2 Ghanta ) fir se study note reading kare.
  5. Jo bhi reading kare tab mind ko ye Message de ki muje ye yaad rakhna hai.
  6. study materials me kuchh chhota – mota dekh lene ki koshish na kare.
 _ _ _#9._Your_Success_Mantra_:_ _  ">

      #9. Your Success Mantra :     

Kisi bhi School , College student ke liye exam me Success hone ke liye exam room ka work hi depend karta hai. kai bar smart student bhi exam me mar kha jate hai aur top nahi kar pate.

-The first step to success is hard work.
-Conducting any act gives you success.

aap anxiety kiye bina exam de payenge. agar aapne ye ” Prepare Exam in hindi ” step ko Follow kaiya hai. aap exam room me bhi kisi bhi question ka answer likh payenge.

 _ _ _ #10._Extra_Inning_:_ _  ">

       #10. Extra Inning :     

Now, student Friends, aapko ye Exam study Tips ke 10 step follow karne hai. asha rakhta hu ki aapko ye Tips pasand aayi hogi.

  • aap mere Is article ke Liye Kuchh kahna chahte hai to Comment me Jarur bataye.
  • Apane Friends Group ( facebook – WhatsApp ) Me Jarur Share kare.
  • Hamara HHG facebook Page jarur like Kare.
  • Aapka ” Prepare Exam in hindi ” related Saval hai to comment Me Jarur bayaye.
  • Aapke online teacher Aapko Jarur Help Karenge.

aapko aapki exam ke liye Best Of Luck.. .!! Dhanyawad..!!

Recommended for You
You may also like
Share Your Thoughts

39 comments

  • Vansh Suryavanshi

    Sir one night main prepration kaise kare exam ki. plz help me…..!

    • HindiHelp Guru

      Sirf Ek Tight me Jyada Kuchh Nahi Hota. aap Kuchh importent Question ki taiyari kar sakte hai. Yahan se Padhe : Exam me pass Hone Ke tarike

  • HindiHelp Guru

    ok.

  • Deepa

    Hlo sir plz help me Mera dhyan nhi lgra pdhne m or exam pass h Mai Kya kru kse pdhu?? Plz plz humble request help me sir. ..

  • sagar ballal

    hello sir meri 12th sci ki exam 21 Feb KO he meri study nahi ho paa rahi kiyon ki mujko bahoot stress jaisa lag raha he me kaise prepare karu plz help me

  • Sajid Ibrahim

    हेलो सर मेरा नाम साजिद है मैं इंटर क्लास में हूं साइंस साइड में मुझे पास होने के लिए कम से कम कितने नंबर लाने होंगे हेल्प कम से कम कितने लाने होगे सबसे कम प्लीज बताओ

    • HindiHelp Guru

      Kisi Bhi Subject me Pass Hone Ke liye Minimum 35 marks chahiye.

  • Khalid

    Sir mere exam me 2 months left hai.
    Maine padhai to ki hai but sb subject complete nhi hai confidance nhi hai mujhe or kya karu kha se start karu kuch smjh nhi aa rha kuch bataye sir

    • HindiHelp Guru

      Simple Hai. Aapko jis Subject me problem lag ragha hai isake liye special kuchh din kam kare, ( 10 – 15 Day )
      Isaka time management karke padhai kare.
      baad me Ye Padhe : Exam me Pass hone ke tarike.

  • akash

    Sir bsc. Nursing entrance exam qualify krne ke liye notes … Mil sakte h kya… Taki thoda idea mil jaye …

    • HindiHelp Guru

      yes, ham kuchh din baad bsc nursing entrance exam model question papers pdf dene wale hai.

  • manish.bhai

    sir mera name mahipal singh hai mera mann padhai me nhi lagata hai me 12th me hu mujhe samajh nhi aata hai ki me kya kru or me padhata hu to yaad nhi hota hai sir g aap batao me kya kru please

    • HindiHelp Guru

      1. Is Article ko pure dil se padh le.
      2. Yaad nahi rahta hai to ye padhe : click Here

  • Raju Rawat

    sir
    10 ke board exam me bas 2 months reh gaye hai
    aur abhi tak kuch bhi nahi parha h
    mujhe samajh ni aa rha h mai kya karu
    plz help me sir?

  • Rashika

    Exam ki Taiyari kaise kare Isake Bare Me Bahot hi Badhiya Jankari aapne Di Hai. mai to Student Nahi Hu but Sabhi Student Ise Follow Karenge to fayada jarur honnga.

    • HindiHelp Guru

      mai bhi chahta hu ki Ye Jankari Sabhi Student Tak Pahuche. Dhanyawad..

  • raju Lal meena

    Mujhe mbbs karna h kya kru

    • HindiHelp Guru

      MBBS Banana Hai to PCB Subject Ke sath 12th Science – achchhe Number Se Pass Karlo.

  • prakash

    Sir main neet ko prepare karna cahta hu . mere pass8 din hai koi book ka name aur tips bataye…..aur main mbbs karna cahta hu… Pls sir..

    • HindiHelp Guru

      yahan batiyi Tips Ko follows kare.

  • mahnoor

    Sir ur a good mje apki har trick smj atti h God bless u sir

  • ambuj kumar rai

    Hi , sir mera name ambuj sudegora hai mai 12th me hu mujhe iitian banna hai kya karu .plz help me ..

    • HindiHelp Guru

      abi to aap 12th calss me aaye hai to achchhe se padhai karo. 12th ke bad kya karna hai isake liye Is Website pe kai article hai ye Padh le. study related article bhi hai. jo aapke kam aayenge.

  • harshit jain

    kya previous year ke question paper se kitne percentage aata he

    • HindiHelp Guru

      exam me Previous year Ke Question Paper Ke 10-15% aate hai.

  • Manpreet

    hlo sir meri 12 class start ho chuki h m ye janna chahti hu ki m 12 class ki starting se kese preparation karu ….

    • HindiHelp Guru

      sabse pahle abhinandan.. kyuki itani jaldi koi padhai me nahi lagata.
      aap sahi subject me ko pahle to puri tarh padh le. isase aapko classroom me fayda milega.
      aap old queastion paper check kar le aapko paper style samaj me aa jaegi.
      koi bhi kam kal par na chhode . aaj ka kam aaj hi kare.

  • Odedra Ramde

    Sir I Can’t Prepare Good In Sanskrit What Is The Solutions Of Sanskrit

    • HindiHelp Guru

      Sanskrit it easy language subject. but you have not interested this subject. you try the subject to interest.

  • Amit kumar

    mera 10 din baad 12 ka exam hai meri taiyari ho gayi hai or mai abhi model set kar raha hu lakin mera padhai abhi nahi ho pa raha hai padhne ka man karta hai padhne jata hu to padh nahi paata ghar se bahar nahi nikalta hu ghar me hi idhar udhar karta rahta hu

    • HindiHelp Guru

      Aapke Pas T8ime Bahot Kam Hai. aap ko padhai Kar leni chahiye. app Khud Soche Ki Jab Padhai Me man Nahi lagta Hai tab aap ke dimag me kya vichar aate hai. kyu aate hai. ise samje aur padhai me lag jaye. Is Article ko ek bar pura Padh le. aapka Man padhai Me lag jayega.

  • ROHIT KUMAR

    Sir me study krna to cahta hu but mera dhyan kbi bhi nhi lagta hai mera dimaag kahi or hi ghumta rehta hai me kitna bhi focus kroo lkn 1 ya 2 minute ke bd dhyan bhatak jata hai…..sir plzz hlp me………..THANK YOU.

    • HindiHelp Guru

      Rohit ji, padhai me man nahi lag raha hai to Aap Daily jo work karte hai , Inme kuchh change kar dijiy. Padhi Kyu karni hai ? daily soche. Study me motivation karne wale vichar ek kagaj me note karke aapke study room me kai jagah chipka dijiye. daily kya aur kab padhai kari hai usaka time table bana lijiye. jab aapka man padhai se hat jata hai tab kaun se khayal aate hai wo mitane ki koshis kijiye. aap jarur kamyab honge.

  • Bhavesh

    Hiii
    My Name is bhavesh ,me Jan na chata hu
    Ke Rilance Jio ke bill asli he ya fack
    Plzz Tell me answer

    • HindiHelp Guru

      Jio Ka Bill Aa raha hi but wo postpaide sim card ke liye hai.

Leave a Reply