POS Swipe Machine Kaise Milega Hindi Information

-

how to get credit card swiping machine In Hindi. Kya Aapko Malum Hai Ye POS Swipe Machin Kya Hota Hai. Shop Ke Liye POS Machine kaise Lagvate hai. Kahan Se milega POS micro ATM. Kitana Kharcha lagta Hai. HindiHelpGuru Ne Is Article Me POS ATM Machine Ke Bare Me Hindi information Di hai. Aap In Small ATM Se paise Bhi kama Sakte Hai. Agar Aapki Shop – Stores ( Dukan ) hai to Cashless transaction Ke liye ye Badhiya Tarika Hai. POS Swipe Machine Se Aap Online Payment, Money transfer,  Kar Sakte hai. Apane Customer Se Paise Le ( Collect Payment ) Sakte hai.

POS Swipe Machine kya Hota Hai ?

POS yani ” Point of sale ” Ek Small ATM Ki tarah ka Machine Hota Hai. Isame Aap Apana Bank Debit Card Swipe karke payment kar Sakte Hai. Agar Aap Kisi Store pe gaye Aur Koi Chij Kharidi. Isake Paise Aap Digital – Online transaction Se karna Chahte hai to Shop me rakhi POS Swipe machine Me ATM – Debit Card Dalke Pa Sakte hai. Khas Taur Pe ye Digital transaction Ke liye Banaya Gaya hai. Ye Direct bank Se connect Hota Hai.jo Bhi Transaction Hoti hai isaki Information Bank Ko Turant pahunch jati hai.

POS swipe machine jankari hindi me

POS Card Swipe Machine Kisko Mil Sakta hai ?

Card Swipe Machine Kisi Bhi bank Account Holder Ko Mil sakti hai. Ya fir Koi Bhi Ise Kharid Bhi Sakta hai. India Me kai Services hai jo Aapko Card Swipe Machine De Sakti hai. halaki bank Se Lena Aajkal Sabhi Cahte hai.

  • POS Swipe Machine pane Ke liye bank Me Account Hona Chahiye. Ya Fir Isake liye ek Alag Se Account Bhi open kar Sakte Hai.
  • Aapke bank Account Me 25,000 RS Hone Chahiye. ( Agar Aapko Bank Se POS Terminal Lena Hai To )
  • Jyadatar bank Koi Shopkeeper, trader or service provider, Merchants Ko POS Swipe Machine Deti hai.
  • Aap Chahe To Handcart – Theke – Kiraye Se Bhi Card Swipe Machine le Sakte Hai.
  • POS Swipe Machine ke Liye Aap Daily Kitana Transaction karte hai wo Bhi aapko POS Ke Liye Puchha jata hai.

POS Machine ke Liye Kitane Paise Lagte Hai ?

Card POS machine Aapko bank se Kam Dam me mil jata hai. Agar Aap Koi private Companys Se Lena Chahte hai to Aapko Jyada paise ( 2000 to 25, 000 Tak ) kharch karne Padenge.

  • Ye Bhi Padhe :

SBI ATM Debit Card PIN Change kaise kare ?

17 Tips Cashless Transaction Security Ke Liye

  • HDFC bank Agreement ke Sath Merchants Ko Kam Dam Me Card Swipe Machine Dene ka Wada kiya hai.
  • Aur banks Aapko 2000 to 2500 Rs Tak Dam Me Aapko Card Swipe Machine Provide karti hai.
  • Ek bar Swipe Machine Lagane Ke bad Bhi Aapko rental Prize – kiraya Dena Padta hai.
    Ye Kiraya Sabhi Bank Ka alag – Alag Hota Hai.

SBI Bank POS machine Lene ke liye Kya Chahiye ?

Agar Aap Bank se POS Swipe Machine Lagvana – install Karna Chahte hi to Aapko ek Application Submit karni padegi. Aap Bank Branch me Jake aur online Bhi Apply Kar Sakte Hai.

Aapko ye Documents Dene padenge.

  • Merchant application form duly filled
  • Identity proof
  • Address proof
  • Business Establish proof

USeful Article :

POS Terminal Types : POS machine Kis tarah Ki Hoti hai.

Debit Card – Credit Card POS Swipe Machin 3 Type Ki hoti hai.

1. GPRS fitted: 

Isme GPRS ke Work hota Hai. SIM Card ke Jariye internet Se Work hota Hai. Desktop GPRS Ko Aap Ek Hi sthan Pe rakh Sakte hai. Mobile PoS me Aisa Nahi hai.

2. Landline Fitted:

Aapke Ghar ya Store – Shop Ke Landline Internet Se Work karti hai. Internet Ka Kiraya Aapko Dena Padta Hai.

3. Mobile Point of Sale:

commercial establishments Me Lagayi jati hai. For example, gas stations, shopping malls, cinema halls etc.

Kud Ka POS Swipe Machine kaise Buy kare ?

Aap Samaj Gaye Honge Ki KIsi bhi bank se POS Swipe Machine Lene Ka Dam kam hai Lekin Isake Alava Isake Kai Charge lag Sakte Hai. Per Month Aapko Kiraya Bhi Dena Padta Hai. Lekin Aap Apana Khud Ka POS Swipe Machin Bhi Lagva Sakte hai. Isake Liye Aapko only One Time Paise Kharch karne hai. Kai Companys hai Jo Aapko POS Machine Bechti hai.

1. oxigen pos machine

Agar Aap Is Company Se POS Terminal Lena Chahte Hai to Aapko Ek bar Hi paise Kharch karne Padenge. Isme Bhi Kai type Ke Machine Aate Hai. Sabhi bank Account Se Activate Kiya jata hai. Isake Bhi Kai plan hai Aap Sabhi Jankari Is Website Se pa Sakte Hai, Kya Prize Hai wo Bhi jan Sakte Hai.

2. PayUmomey POS Machine

PayUmoney Company Bhi Aapko POS Swipe Machine Provide karti hai. Isame Aapko Othe POS Se Jyada Fayda Mil Sakta Hai.
Jyada Jankari Ke Liye Click Kare : PayUmoney POS Service

Benefits Of POS Swipe Machine In Hindi

  1. POS Card Swipe Cashless Transaction ka Bada Fayada hai.
  2. Shop – Store me Customer Se Online Payment Collect kar Sakte Hai.
  3. Aapko POS Use karne Pe kai PVT Companies Commission Bhi Deti hai.
  4. Business me Customer Badh jate hai.
  5. Digital Payment transfer ka Option milta hai.
  6. Brashtachar Kam Hota hai.
  7. Chhote Store Pe Bhi kam Dam me Lagvai jati hai.
  8. ATM – Debit Card, Credit card Aur Rupay Card Bhi Istemal kiye jate Hai.

Also Read :

HDFC Mobile Banking Kaise Istemal Kare?

Extra Inning :

Aapko ye Article “ POS Swipe Machine Information Hindi ” Kaisa Laga jarur bataye.

Social Site Pe Share kare.

POS Card Swipe Machine Se related koi Saval hai To jarur bataye.

HindiHelpguru FB page jarur like Kare.

 

Recommended for You
You may also like
Share Your Thoughts

7 comments

  • Sunil

    Mane hdfc ki swipe machine se 1300 rs katne th pr galti se 300 rs kate to me ab ye 1000 rs kase prapt kr skta hua plz btaye

    • HindiHelp Guru

      jisako payment kiya hai wo refund karega to wapas mil sakte hai.,

  • arun

    GPRS bi net ke through chlti h Kya iska bi kiraya dena pdta h Kya,JB payment krte samaye Kuch extra charge bi add hota h uska Kya mtlb hota h. About POS machine information Thanx

    • HindiHelp Guru

      Yes, GPRS Se swipe Machine Chalta Hai. Isaka Aapko Kiraya _ Chargis Bhi Dena Padta Hai. But Sabhi tarah ke POS Machine Ke Liye Nahi Dena Padta Hai. kai POS Machine Companes Pahle se Sabhi Paise le Leti Hai.

    • daljeet narang

      sir agar aapko cahiye to mein market se sasti dilwa sakta hu icici bank ki wo bhi bina kisi monthly rent ke my number is 9069765317

  • Satyabrata Bardhan

    Mera Jio TV play nahi ho raha hay. bar bar [email protected] is side may Jane k lea bol raha hay

Leave a Reply