PAN Card Online Apply Kaise kare In Hindi

-

how to apply online pan card in hindi ? Online Pan Card Kaise paye ? Friends, Aapko Pancard Ki kai Bar Jarurat Huyi Hogi. Agar Aapke Pas Pan Card Nahi Hai to Aaj ham Aapko Ghar baithe Pan card ke Liye Online Application Submit Karne Ke Bare Me Batayenge. Aapko NSDL Website ke Pan card Online Status Check Karna, Pan Card Copy Ko Online Download – Print Karne ke Bare Me Hindi Me bataya gaya hai. Aap Duplicate Pan Card Online Nikalva Sakte hai. Ham jante Hai ( पेन कार्ड ) Pan Card Online Apply Kaise kare ?

PAN Card kya hai ?

ham Mante the Ki Pan card Sirf Government employee ke liye Jaruri hota hai. but ab aisa Nahi hai. Government Pan card ko kai kam ke Liye jaruri banane ja rahi hai. PANCard ek unique identity card hai. ise Permanent account number kaha Jata hai. Pan car kisi Bhi tarah Ke financial transaction me Bahot jaruri Mana Gaya hai. PAN Card me ekalphanumeric 10 digit number hoto hai jo ki income tax department se Provide kiya Jata hai. yah process central board of direct taxes CBDT ke dvara ki jati hai.

Aanewale Dino Me Aadhar card Ki Tarah Pan Card Bhi Sabhi Indian Ke Liye Importent Document Banane ja raha hai. Agar Aapke Pas Nahi ye To Aaj Hi PAN Card Online Apply kare.

pan card online apply

how to apply online pan card in hindi ?

  • Visit Incom Tex Website NSDL
  • Submit Your Details
  • Submit Guidelines
  • Add Your Personal details
  • Contact and Other Details
  • Submit your PAN application documents
  • Mode of payment
  • Submit Acknowledgement Slip with Document

Visit Incom Tex Website NSDL

pan card online kaise paye

Pan Card Online Apply Ke liye Sabse Pahle PAN Card Website Pe Jaye.
yahan Aapko Aapki Detailes Add karni Hai.

1.Application type me New Pan -Indian citizen (form49A) select kare.
2.Category me Individual select kare
3. Last Name / Surname* First Name, Middle Name add kare.
4. Date of Birth(DD/MM/YYYY)*, Email ID, Mobile Number add kare.
5. Captcha Code Enter karke Submit kare.
6. Submit Option Click Karne Pe Aapko new page me Notification message milega. Isame Pan card Application ka token Number hoga. ise kahi Likh Le.

pan card token number

Note : agar aapko Pan card online Apply me Bich Me Koi problem aata hai. to aap is tokenNumber Se fir se wo hi application submit kar payenge.

7. Ab click Continue With PAN Application form pe click kare.

Submit Your Details – Pan Card Online Apply

ab Aapko 5 step me Aapki Details Add karni hai. new page me aapko sabhi step dikhai denge. one by one sabhi step ko fill kare.

Step : 1 Guidelines

online pan card info

1. Sabse pahle apna Aadhar Card Number enter kare. Aadhar card Nahi Hai to Khali Chod De.

Note : Agar Addhar card Hai to wo hi add kare. kyuki application physically submit nahi karni paegi. jyada documents ki jarurat nahi rahegi.

2. Full name of applicant me apna name, surname, Middle Name add kare.

3. Pan card Me Aap Kya Name rakhna Chahte Hai wo add kare.

4. Date Of Birthday aur Gender Select Kare.

Step : 2 Details Of Parents

Ab Aapko Online Pan card Apply Me Parents ( Mother – Father ) Ki Details Add Karni Hai.

pan card details of parents

1. Have you ever known by other name me NO select kare

2. Aap Kisaki Details Add Karna Chahte hai ? ( Mother – Father ) Select kare.
3. Details of Parents me aap Mother/ Father surname, First Name , Last Name Add kare.
4. Next Pe Click kare.

Step : 3 Personal details

pan card address submit

1. Source of income me apni income source select kare.
2. Address of communication me Residence select kare
3. Residence address me apna home address properly add kare

pan card office address

1. Office address me same home address add karna hai.

2. Telephone Number , Email Id Add kare.

3. Representative Assassee me  NO Select Kare.

4. Next Pe Click Kare.

Step : 4 Contact and Other Details

Ab  Aap Online Pancard Apply Ke Step – 4 Me Aa Gaye Hai . Yahan Aapko Apana Address Locatiuon – aria Select Karna Hai.

pan card ke liye online apply karne ka tarika

1. Area code, AO type, Range code and AO NO. ki details automatic add karne ke liye below “For help on AO code, select from the following” me indian citizen select kare.
2. state and city select kare.
3. apni city ka area choose kare jaha aap rahte hain wo select karte hi Area code, AO No details add ho jayegi.
4. Last Me Next Pe Click Kare.

Step : 5 Submit your PAN application documents

Ab Aapko Pan Card online Apply Ke liye Document Submit Karne Ke 3 option Milte hai.

1. Application ko sabhi documents me sath Post ke through submit karna
2. Scan karke Documents send karna (Yah option available nahi hota kayi bar)
3. Aadhar card ko verify kar online submit karna.

In 3 option Me Se Aapko Jo easy Lage Wo Select kare. ( Aadhar Card Se Document Submit Karna Best option Hai. Bad Me Ye Step Follow Kare.

submit document in online pan card

1. Proof Of identty, Address or Date Of Birthday ke Liye Aap kya Provide karna Chahte Hai wo Document Select Kare. Aap Sab me Aadhar Select kar Sakte Hai.
2. Is Option Me Aapko Kuchh Nahi Karna Hai.
3. Place aur Date Add kare.
4. Submit Pe Click Kare.

submit pe click karne ke bad me aapko fir se sabhi step dikhai denge. aapko dekh lena hai ki kahi koi galti nahi hui hai na.

Bad Me proceed Pe Click Kare. ( agar Koi Galti Ki Hai to Edit pe click kare. )

Online Pan card Mode of payment

Form ko confirm submit karne ke baad ab next screen me aapko Rs. 107 Pay karna hai.
Aap online internet banking, Debit card or Demand draft se payment kar sakte hain.
Successful Payment karne ke baad aapko Acknowledgement slip provide ki jayegi.

1. Processed Payment me click kare. Pay Confirm Pe click kare.

2. payment receipt ke bad continue pe click kare

Submit Acknowledgement Slip with Document

Pan Card Online Application Submit Karne Ke Bad Payment Kare. Bad Me Aapko ek Acknowledgement slip – Form Provide Kiya Jayega. Ise Download Kare. identity aur address Proof Ke Sath pne sabse near PAN CARD Centers par visit kare aur Submit kare.
Aapke Pancard Centers Ki Jankari Ke Liye yahan Click Kare :

Pan Card Status – enquiry Check Kaise Kare ?

Pan Card Online Appy karne Ke Bad Aap enquiry – Track  kar Sakte Hai ki Aap Ka Pan card kis Process me Hai. kab tak Milne Wala Hai. Agar Time Pe pan card Nahi Milta hai to Kya Hua hai. wo Sab Check kar Sakte Hai.

1. Pan Card Status Check Website Pe Click Kare.
2.Application Type Select Kare.
3. insert 15-digit acknowledgement number.
ya Fir acknowledgement number Bhul Gaye – Yadd Nahi Hai to ..
4. Name aur Birthday Add Karke Submit Pe Click Kare.
ya Fir ,

Aap SMS ke through bhi apni application track kar sakte hain:
SMS ‘NSDLPAN15 digit ack. no.’ to 57575
Is tarah Aap Online Pan card Status Check Kar Sakte Hai.

Pan card Kab tak Milega ?

Agar Aapne successfully Online Pan card Apply Kiya Hai, payment Kar Diya Hai. Document Submit Kar liye Hai to Aapko 1 Month Me Pan card Mil jana Chahiye. But Agar Aap Kisi Gauv Me rahte Hai To Isase Kuchh Jyada Din lag Sakte Hai.

Recommended for You
You may also like
Share Your Thoughts

160 comments

  • Anoop Kumar

    hello sir ,
    maine pan card ke liye apply kiya hai ekyc ke through , mai apne pan card ko kaise track kar skta hu

    • HindiHelp Guru

      Is Article me Link Diya hai, Click Kare aur Follow kare.

  • arbaz

    authenticate karke otp varification karke submit karne ke baad Exception in generating Esign User PDF inside EsignController for token no dikha raha hai

  • murlee patel

    sir scan method me (photo, signature, identity, address, date of birth proof) ke baad aur koi document submit karna hai ? pls help

  • Vandna Namdeo

    Nice information sir,
    Kya document post se bhejne ki jrurat hoti hai ya nhi

    • HindiHelp Guru

      agar aapne ekyc nahi kiya hai to bhejana padega.

  • RAMESH KAIWART

    sir maine nsdl se pancard banaya wallet se paisa kat gaya kintu form download nahi huva kya kare

    • HindiHelp Guru

      Email check kare. Login karke dekhe.

  • Rahul

    sir register number me kya add karna hai

    • HindiHelp Guru

      kis step me ye option aata hai. ?

  • harshit

    sar pen card aplai formet kese bhare isaka koi formet nikal sakte hai

  • REKHA SRIVASTAVA

    sir me pan card medath of birth 04/04/1973 kese hoga adhar me to 04/04/1973 he pan no- FOTPS71*** REKHA SRIVASTAVA FATHER NAME RAJENDRA NATH SRIVASTAVA ADHAR ME HUSBAND NAME AKHILESH KUMAR ADDRESS 30,MIRZAPUR NEW SHIVLI ROAD KALYANPUR, KANPUR
    THANKYOU
    DATE 18.09.17

    • HindiHelp Guru

      Aap Pancard Official Website Par Jakar Online Form Submit Kar sakti hai.

  • parshuram

    सर पेन कार्ड एप्लीकेसन फॉर्म में कई ओपसन मुझे समझ में नहीं आ रहा है तो यह जानकारी कहा से मिलेंगी
    और केसे भरे इसका सेम्पल कहा से मिलेगा

    • HindiHelp Guru

      Aap Article ko pahle ek bar achhi tarah padhe. Hamne sabhi step Bahut aasan Language me Bataye Hai. Is Article ko Step by Step Follow Kare.

  • lalit

    sir mene pan card online apply kia h.adhar card se or e-kyc bhi ho gya mobile pr otp ke dwara.kya muje hard copy bhejni pdegi ya ni.pan card number bhi mil gya h .hard copy bhejni pdegi kya.

    • HindiHelp Guru

      Already Dusari Comment Me Isaka Javab De ZDiya Hai. Comment Padhe.

  • saroj srivastava

    Your PAN Card Application Status
    Application Coupon number U – 61477**01
    Application Type For new PAN Card (Form 49A) as a Resident Indian
    Applicant Name SAROJ SRIVASTAVA
    Status YOUR APPLICATION IS PROCESSED SUCCESSFULLY
    PAN [ IWNPS0748L ] IS ALLOTTED, CARD IS UNDER PRINTING.
    Region NORTHERN REGION this pan no- is [ IWNP

    88848L ] date- 08.09.2017
    Back
    Designed by: UTIITSL

    • HindiHelp Guru

      Kuchh Din Ke Bad Aapke Home Par Post Se Pancard Mil Jayege.

  • saroj srivastava

    SIR
    NAMASKAR
    SAROJ SRIVASTAVA MENE 31.07 ME APPLICATION COPON NO- 614778*** 31.07.2017 KO BHEJA YOU NE ANS DIYA KI 10-15 DIN WAIT KARE ESKE BAD 22.08 -017 ME BHEJE TO YOU ANS DIYA KI 10 SE-15 DAY KA WAIT KARE N AYE TO MUJHE BATANA 28.08.17 JAN-2017 KA ABHI TAK NAHI AYA KAB TAK WAIT KARE
    THANKYOU.

    • HindiHelp Guru

      Aap Apana APPLICATION COPON NO se Status Check Kare. isase aapko Pta Lag jayega ki aapke pancard me abhi kya process chal raha hai. ( koi Problem Hogi wo bhi dikhai degi. ) yaha click Kare : pancard Status Check

      ( pancard Apply karne ke bad 30 day se 45 day ka time lagata hai. )

  • saroj srivastava

    Your PAN Card Application Status
    Application Coupon number U – 614778301
    Application Type For new PAN Card (Form 49A) as a Resident Indian
    Applicant Name SAROJ SRIVASTAVA
    Status APPLICATION HAS BEEN MARKED FOR DUPLICATE VERIFICATION; AWAITING CONFIRMATION FROM THE INCOME TAX DEPARTMENT.
    Region NORTHERN REGION
    pan card kab tak ayega date-22.08.17

    • HindiHelp Guru

      Aapke Pancad Me MARKED FOR DUPLICATE VERIFICATION ho Raha hai. Kuchh Din Waite Kare 10 – 15 Day. Fir Bhi Na aaye to Muje Fir Se Batana.

  • saroj srivastava

    sir you ans diya ki status check kare a\usme application problen a raha he kaya marshit.adhar card ,voter id etc document clear he ki nahi application se kaya correction karana he mene advocate ka no- 94503445 diya call kare men to document sahi hona chaia jan-2107 se abhi tak pan card nahi ban pa raaha itna late kar rahe please sie jaldi pan card no- dene ka kashat kare mahan daya hogi .
    thankyou
    saroj srivastava copon-no-614778301 mob.4607755407

    • HindiHelp Guru

      kya Application Problem Hai wo Aapko Email se bataya Hoga. mail check Kare. agar Status Me Sirf application problen likha Aa Raha hai to Application Fill Karne Me Koi Galati Ki hogi. agar aisa hai to aapko Fir se application Submit karni padegi. New Fees ke sath.

  • saroj srivastava

    copon no- 614778301 saroj srivastava ne incorrect bhej diya dubara bhej rahi hu
    thankyou

  • saroj srivastava

    6147778301 copoon no ka pan card kab tak ayega mob no-7607755407 ma call kare or 9450344535 par jaldi pan card no- dene ka kashat kare
    thankyou
    date-19.08.17 bahut late kar diya mene 2 bar dacument panch sambit kiya he

    • HindiHelp Guru

      Aap Pahle Status Check Kare. tab Aapko Malum Hoga Ki Kya Problem Hai.

  • PATEL DHRUVAL

    PAN CARD NATHI AVYU PLZZZZ CON 9687224715

    • HindiHelp Guru

      to pachhi tame Pancard Status Check Kari Juo.

  • saroj srivastava

    sir meri application me problem he to 94503**535 me call kare kayoke advocate ka no he mera name saroj srivastava mera copoon no- 61477**01 he jo ke pan card nahi aya he
    thankyou
    date 09.8.17

    • HindiHelp Guru

      Aap Pan card Status Check Kare, Tarika Article Me Last Me Bataya hai. Email Bhi check Kare.

  • saroj srivastava

    saroj srivastava application no-61****301 he status me show ho raha application has been marked for duplicate verification, awaiting confirmation from the income tax department.
    region—–northern region show kar ta he
    mera pan card no abhi tak show nahi kar raha he mera mob.no-760***5407 me mesage send kare
    kab tak pan card ayga
    thankyou date-31.07.207

    • HindiHelp Guru

      Aapki Application Me problem Hai. Aapke Name Se match Koi aur Name Hai Jo Pahle se Pancard Mil gaya hai. abhi income tax department verify kar raha hai. verification ho jane ke Bad aapko Pancard Mil Jayega. ( agar Koi Problem Nahi hai to ) 10 – 15 day wait kare. fir bhi na Mile to Customenr Care me Call kare.

  • rohit khanal

    maine from ko feel kar liya sing bhi ho Goya an mujhe kiya karna padega Maine feelup kiya huwa from ko keise submit karu post mai bhejna hai to koun so address par bhejna hai aur paisa keise payment karna hai please bataye

    • HindiHelp Guru

      Sabkuchh Aapko Is Article Me aur Comment Me Bataya hai. address bhi Diya Hai.

  • Pradumman rajbhar

    Declaration ये तो hight light नहीं हो रहा है इशके लिए क्या करे

    • HindiHelp Guru

      Previews Step Fir se Fill Karo.

  • kuldeep singh

    Very best artical nice jankari

  • Murlee

    Pan card damege ho gaya hai

    Ishke liye kun sa form bhare aur kish tarh bhare
    Please example send me..

  • anil

    Sir maine 21/062017 Ko uti site se pan applya kiya mera no u (n001859076) Mila aur form suscefully hone ka messge bhi screen par aaya pement bhi kiya hai .lekin sir problem hai ki mai online fill form ki print nikalne se pahle page screen se chala gaya .ab mere pass kya option hai .mera email id aur mobile par bhi uti ne koi bhi detaies nahi bheji .ab sirf mera pass (n001859076) Hai status online chequt kiya to aapke dacument post dwara summit ka message deta hai.

    • HindiHelp Guru

      Aapko Ab Pancard – NSDL website ko Mail Karna Hai. mail me batana hai ki Meri Misteck ki Vajah Se Application From Print Nahi Hua Hai. aapko Email Se Print Ki Link Mil Jayegi. Sath Me Mai Ek Form Aapko De Raha Hu .. Ise Fill Karke Post Se Bhej De. [email protected]
      Pancard Application From

      NEW ADDRESS FOR SENDING PHYSICAL PAN APPLICATION DOCUMENTS NEW
      INCOME TAX PAN SERVICES UNIT
      (Managed By NSDL e-Governance Infrastructure Limited)
      13/D Kurla Industrial Estate, Nari Seva Sadan Road, Narayan Nagar, Ghatkopar (west), Mumbai .

  • Rup Jyoti Medhi

    Thank you for using online facility for PAN application.

    If you have digitally signed your application using eSign/eKYC then there is no need to forward physical documents.
    Blank page k sath ye msg aye the

    Sir mene koi eSing/eKYC nhi ki

    • HindiHelp Guru

      agar aapane eSing/eKYC nahi ki hai to physical documents Post Se Submit karne padenge.

  • Rup Jyoti Medhi

    Or sir ek baat me Ghar se bahar rehta hoon. Kya sir me pan card online print kr sakta hoon or Kese krte h. Apply krne k baad kitne din me print nikal sakte h

    • HindiHelp Guru

      Apply karne Ke bad 1 month + lag Jata hai.

  • Rup Jyoti Medhi

    Sir Maine lost pan card apply Kya Tha AADHAAR se sab kush karne k baad anknowledgement no nhi le paye kio ki m mobile se kiya Tha. Usme Jo dwonload page h wo blank ho k aa Gaye plz sir help …

    • HindiHelp Guru

      Aapkne Email address Add kiya Hai to vahan Se Kuchh Details Mi Sakti Hai.

  • amarpal

    Sir mane uti site per 50 din phale pan card me liye ally kiya thak abhi tak naye aya hai khya mai nsdl per aply kar sakta hu please tale me thanks

    • HindiHelp Guru

      Aap pahle Status Checkkare. aur Email check kare. isame bataya hoga ki aapke Pancard ka prossec kab tak hua hai.

  • alok shrivastav

    sir ji aap bahut achchha kaam kar rahe ho logo ki helf karke upar wala aapko khush rakhe

  • alok shrivastav

    sir ji
    to jinke adhar me mobile number link na ho or unke pas e mail na ho to mai apna number or email kar sakta hoon kya…usme * laga hota h

    • HindiHelp Guru

      Security Ke Liye Aadhaar Card me Email aur Mobile Number Ka Hona Jaruri Hai. lekin nahi hai to aap aadhar me sudhar kar sakte Hai. isaki jyada jankari aadhaar ki website se mil jayegi.

  • Kailash Thakur

    Sir Mera pan card block ho gya hai use unblock kese kr skte hai

    • HindiHelp Guru

      Aapko Kaise Pata Chala Ki Block Ho Gaya Hai ? aur Kya Problem Aa Rahi Hai?

  • Zahid Ul Quadir

    Sir mera pan card kab dispatch hoga status shows under process with nsdl

    • HindiHelp Guru

      wait kare. 1 to 2 month me aa jata hai.

  • alok shrivastav

    ek email id ek hi pan card online karne me use kar sakte hain ya kitne me bhi.
    aur agar mobile number add na ho adhar me or na email ho to kaise apply karte hain.kon se option slect karne padte hain plz helf me sir
    full gyde karen

    • HindiHelp Guru

      Aap Pancard Me email id Ko Isaka Status Check Karne ke Liye dete Hai. Aadhar Me Email – Mobile Number add Ho Ya Na Ho koi Fark Nahi Padta.

  • राजेश कुमार

    sir पैनकार्ड अप्लाई e-kyc के जरिये सिग्नेचर का तो कोई obtion ही नही आता, तो पैनकार्ड पे सिग्नेचर कैसे आएगा

    • HindiHelp Guru

      Email Aadhaar me Hona Chahiye. Pancard ke Liye e-sign ka Option aapko 4th step me dikhai dega. ise select karna hai.

  • ROUSHNI MISHRA

    thank you sir ab maine bhut sare logo ka pan card ke liye apply karna shuru v kr diya h mujhe khushi h ki maine aapki post padhi aur ab mai is jariye se kuchh paise v kma rhi hu Thanks a lot.

    • HindiHelp Guru

      dhanyawadd.. Hame Bhi khushi hai Ki Hamari Post Kisi ke Kam jarur Aayi.

  • ROUSHNI MISHRA

    I really thank u so much sir for me help.

  • kishor gujar

    सर जी मैंने पैन कार्ड ऑनलाइन nsdl पर कर दिया है आधार कार्ड के मधाम्यम से पूरा फॉर्म ऑनलाइन होने के वाद anknowledgement नंबर भी मिल ने के वाद फॉर्म दोव्न्लोड़े कर लिया है परन्तु उस पर साइन नही है तो क्या हमें वह फॉर्म फिजिकल सबमिट करना परेगा.
    Parantu e-sign karne par documents bhejne ki jarurat to nahi hoti?
    Es vishay par savister bataye sir jee.
    Danyavad

    • HindiHelp Guru

      क्या आपने साइन और फोटोज अपलोड किया था? अगर किया है तो आपको फॉर्म को कही नहीं भेजना है. नहीं किया है तो आपको NSDL को सबमिट करना पड़ेगा.

  • kishor gujar

    sir mene e-sing se pan ka farm bhara , annolegment no.bhi mil gaya. parntu 4 din ho gaye pan no. nahi mila? kya aadhar esing process me kagaj bhejna jaruri hota hai?
    please reply sir jee

    • HindiHelp Guru

      agar aap aadhar ( document ) ko online submit karte hai to post se bhejane ki koi jarurat nahi hoti hai. Pan aane Me 1 month tak time lag jata hai.

  • ashok bansal

    Bhai mera adher card main date of birth puri nhi hai only year hai iska liya main apna 10 th ka caticficate attatch krna hai

    • HindiHelp Guru

      Aap https://aadharcarduid.com/change-online website par jaye . yahan se Online aadhar card correction ke liye apply kare. document submit kare. aap yahn se aadhaar card me Name, Address, Phone, Gender, Date Of Birth change karna hai to kar sakte hai.

    • jaswant singh

      sir photo ki size mene 213×213 kr le hi fer bhi docament uplod nhi ho rha hi ok krne ke bad me error lekha huaa aa rha hi /////// koe sujav dosa

      • HindiHelp Guru

        sirf Photos Ka Size change Na Kare. Isaka File Formate Bhi change Kare. PNG Photos Upload Kare. ( Isase Size Kam Ho Jayega)

  • SHAILENDRA KUMAR GUPTA

    dear sir
    how to fill the pan form
    md sultan alam

  • सुनील कुमार त्यागी

    सर जी मैंने पैन कार्ड ऑनलाइन nsdl पर कर दिया है आधार कार्ड के मधाम्यम से पूरा फॉर्म ऑनलाइन होने के वाद anknowledgement नंबर भी मिल ने के वाद फॉर्म दोव्न्लोड़े कर लिया है परन्तु उस पर साइन नही है तो क्या हमें वह फॉर्म फिजिकल सबमिट करना परेगा

  • Md aslam

    sir mera naan .md aslam hai aur main online pan card aplly karta hoon to sort name bata raha hai md naam lod nahi leraha hai iska kya upay hai help me sir

    • HindiHelp Guru

      aap Bich me space de sakte hai. ya fir customer care me call karke pata lagaye.

  • Simon baskey

    Sir thumb wale ka pan card kaise banega

  • Simon baskey

    Sir acknowledgement slip me photo or sign jaruri hai ya

    • HindiHelp Guru

      yes, Jaruri Hai. Iske Bina Form Invalid mana Jayega.

  • mohsin

    sirji agar aadhar card se verfy karne ke bavjood kya aknowlegment slip ke sat vapas se dacument submit karna jaroori hai kya

    • HindiHelp Guru

      nahi hai. aap apana Status Dekh Le. email Check Karte rahe. Koi problem Hoga to vahan se malum Hoga.

  • md tanvir alam

    Sir first name me MD lod nahi ho raha he sir plaza help me

  • Sharun Sharma

    Hi sir
    I hv applied my new PAN card on 09/03/17. Now i hv cheked status. Status showing ‘ Application is received and is under verification. Tell me the next
    Thanking you

    • HindiHelp Guru

      download your form and submit Pan card Office. ( With Document ) . aapne form download kar diya hai to ise Pan card Office Adress Pe Document ke sath Bhejana Hota Hai. agar Post Se bhej Diya Hai to Mila nahi Hai.

  • रामबाबू

    मेरा नाम रामबाबू पिता का रजवा है पैन कार्ड नंबर 102879700025631 है जन्म तिथि 01/01/1994 है
    जिला चित्रकूट राज्य उत्तर प्रदेश है मेरा पैन कार्ड क्यो नहीं आया और चेक कराते है तो कम्प्युटर मे आ जाता है डाक मे क्यो नहीं आता है मो0 9984463015 प्लीज आप डाक मे तुरंत डाल दे
    धन्य बाद 17/03/2017

    • HindiHelp Guru

      Aap Online Copy Print Kar Le.

  • md gufran khan

    sir.tokken no kaise use kare

    • HindiHelp Guru

      Pancard Online Apply Karte Samay Aapko tokken no . Diya Jata Hai. Isase Aap Application Status Dekh Sakte hai.

      • kuldeepsingh

        Sir mera pan card abhi tak phucha nhi hai 1mhina ho gya hai

        • HindiHelp Guru

          Aapki Application Me Koi Problem Ho Sakta Hai. aap email check Kare aur Pancard Status Bhi Dekh Le. kya problem Hai Dikhai Dega.

  • RAVINDRA KUMAR

    sir pan card centr kaise milega sir plz bataiya

    • HindiHelp Guru

      Pan Card ki website Se Search Karo.

  • Gotam saini

    Sir jaise adhaar mobile me downlod kar lete hai. Pan card bi downlod kr sakte hai kya ? Agar han to kaise kre ?_ btaiye sir

  • SONU

    Sir aap to batye the ki pan card Submit digitally through e-KYC & e-Sign (Paperless) se karane se post office se nahi bejana hai
    sir mera mobile no. adhar se link nahi hai to kaya onlion ho sakata hai . or post office se bhejan hoga ki nahi plz sir bataiya

    • HindiHelp Guru

      Aap Comment Padhe Maine Isaka Javab Kai Bar De Diya Hai. e-KYC kar diya Hai to Post Se Nahi Bhejana Hai.

  • Gaurav Saini

    sir ye conform h ki pancard hmare address pr hi aayega kyoki hm jb kisi ki shop pr pancard apply krne jate h to humara pancard unki shop pr phunchta h

    jaise hmne bulandshahr m apply kra ek shop pr or hm sikandrabad m rhte h lakin hmara pancard bha unki shop[ pr aata h
    ab aap btaye sir ye kaise h ki hmara direct pancard unki shop pr kyo phunchta h

    • HindiHelp Guru

      Aisa Nahi Hai agar Aap Kisi pancard Shop Se Pan card Nikalvate Hai to wo apana Address Deta Hai. to Isake address par aata hai. Aap Khud Apply Karte Hai to apana Address Detae hai. to apane address pe Mil Jayega. agar Na Mile to Aap Online Bhi Print Kar sakte Hai.

  • SONU

    Sir adhar se onlion kiya huaa pan card post office se bhejana hai kaya .

    • HindiHelp Guru

      yes Application Post Se bhejana Hai.

  • SONU

    Sir kya Submit digitally through e-KYC & e-Sign (Paperless) se pan card onlion karne se adhar card mobile se link hona chahiya kya

    • HindiHelp Guru

      Aadhar Mobile Se Link Na Ho to kai Problem Nahi.

  • RAVINDRA KUMAR

    sir maine pyment kar diya hu mujhe token. No. 0004192096 mila hai or Application Status chek karne par 15 digit numeric number mag raha hai sir kaise chek kare

    • HindiHelp Guru

      Aapke Application Form Download Kiya Hai Isame Hoga. ya Fir Aapka Email Check kare. Pan card Status Check karne ke Liye Dusara Option Bhi Hota Hai.

  • RAVINDRA KUMAR

    Sir jab maine onlion pan card kiya tha tab opt sms nahi aaya tha or acknowledge no vi nahi mila hai or paisa kat gaya hai sir kaya kare plz bataiya

    • HindiHelp Guru

      aisa o hi nahi sakata. aap jab Application online apply kar rahe the tab aapko ye No. Milta Hai. ab aapke Email me dekho. yahan aa gaya hoga.

  • RAVINDRA KUMAR

    sir kya mobile no / email id adhar card se link hona jaruri hai. plz sir bataiya

    • HindiHelp Guru

      Pan Card Application ke liye jaruri nahi hai.

  • Noushad.ahmad

    Online.apply.karnay.Kay.bad.pancard.
    Milay.ga.kaisay

  • shalendra rana

    Sir mene pan card kisi loccle delr se 20nomber ko bnwa tha pr 3manth se jyada ho gya h abhi tk nhi aya hai ab mujhe kya krana hoga bhut jrurat h mujhe pan card ki plzz help plzz

    • HindiHelp Guru

      Ji vyakti se aapane pan card banvaya hai. ise bat karo.vo aapka pancard status Check karke batayega. kyuki sabhi details isake pas hogi.

  • gagan soni

    sir Maine online pancard ka form bhar diya hai or usko payment bhi ho hai hai an mujhe ek form or acknowledge no. bhi mila hai ab ise kahi post karna hai ki nahi

    • HindiHelp Guru

      ye karna hai. agar aapane online kyc nahi submit kiya hai to. Pancard Form Post karne ka Address : Income Tax PAN Services Unit, NSDL e-Governance Infrastructure Limited, 5th floor, Mantri Sterling, Plot No. 341, Survey No. 997/8, Model Colony, Near Deep Bungalow Chowk, Pune – 411016.

  • Shubham kumar

    Sir,
    Maine jo acknowledgement slip print kiya hai,usme do jagah manually sign karne ka jagah diya hua hai.please clear bataiye ki use by post bhejna chahiye ya nahi.maine ekyc and esign kiya tha

    • HindiHelp Guru

      Agar Aapne Successfully ekyc kar liya hai to Koi Jarurat Nahi Hai. agar aapane ekyc me Aadhar card, Photo, signature Submit Kiya Hai to.

  • Shubham kumar

    Sir main apne papa ka pan online karna chahta hun,par papa ka koi v document nahi hai-jaise aadhar ya voter id.mujhe kya karna chahiye.kya main apna aadhar laga sakta hun

    • HindiHelp Guru

      Aap Apana Aadhar Card Nahi Use Kar sakte Aap Aur Koi valid Document ko use karo.

  • Shubham kumar

    Sir,
    Good evening
    Maine 14-2-17 ko pan card online kiya.maine ekyc & esign kiya tha.ab jo mujhe acknowledgement slip mila hai,use bhi kahin bhejna hoga.kyunki maine paperless mode choose kiya tha.

    • HindiHelp Guru

      to fir nahi bhejana padega. aap Jab Ise Print option select karte hai tab aapko bataya Jata hai ki ise Office pe bhejana hai ya nahi. Aap Apana Status Check Kar Lena.

  • gaus ajam

    Sar pain kard ki fees kitni hau

    • HindiHelp Guru

      Online pan card ke Liye Aapko Sirf rs. 107 Pay karne padte hai.

  • Anshu

    Sir Mene nsdl pr new pan k liye application diya tha ekyc ke through to or pura process complete bhi Kiya tha.but ekyc ke Baad bhi koi document physically send krna hota h kya sir pls reply.

    • HindiHelp Guru

      Aapne Form Download kiya Kya ? aap Is Form Ko padhe. Isame Bataya Hoga. aapne Kitan Prossec Kiya Hai. aapko Post se send Karna Padega.

  • MD NAUSHAD ALAM

    sir main pan card apply kar raha hu .name- first md second name naushad &last name alam dal raha hu first name md apply nahi le raha hai .krpya batiye kiya karu

    • HindiHelp Guru

      Sabse Pahle aapko Surname , bad me aapka Name aur Last me Father Mothr Ka Name Add Karna Hai.

  • saiyad

    Sir jee mene ekyc se pan apply kiya.or payment bhi kr diya. Lekin authentication krne par otp received nhi hua.. And usme likh kr a RHA hai ki. Your token application is not matched.and your token application refunded within 7 working days.
    To kya mera amount mujhe refund hoga..

    • HindiHelp Guru

      Yes 1 week Me Refund ho Jayega.

  • Amarjit Singh

    Sir mera koi middle name nahi sir mein kya baro please sir our sir pan card ka service padta hai kya

  • QASIM KHAN

    sir mera aapse yeh question hai ki mene apna pan card apply kar diya hai mujeh acknownledgement no. recive ho gaya hai aur bar code bhi
    ab mujeh kya wo form jo net se nikla he aur document post k throw send krana hai plz. help me . [email protected]
    mob.8445346820

    • HindiHelp Guru

      yes Aap Pan card Form Print Kar Lijiye. aur document ke sath Post se Bhej Dijiye.

  • gagandeep singh

    sir online hi pan card wala form submit ho jyaga ja kisi pan card centre mai jakar ohn forms ko submit krna hoga. or apne bank account se fees submit ho skdi a

    • HindiHelp Guru

      apane pan card application online submit kar di hai to aapko payment ka option bhi vahan se milta hai. debit card se payment kar do. bad me form Print karna hai.

  • gagandeep singh

    sir online form fill krke form submit kaha karna hai. aur payment hum apne avccount se kar skte hai.

    • HindiHelp Guru

      article me bataye step follow karo aur New pan card ke liye Apply karo. payment karo.

  • md

    duplicate pan card ke liye kya form bhare aur kaise bhare

  • Rafik khan

    Sir mene 26-12-2016 ko pan card apply kiya tha abhi tak pan card mujenhi mila or jo pan card rasid thi vo bhi kho gai h me kese pta kru ki muje pan card kab tak milega … Plz help me

    • HindiHelp Guru

      Aapko Article Me last Me pan card Status Check website address Diya hai. vahan dekh lo aapko pata chal jayega.

  • Jigar

    Sir mene nsdl pan se online pancard applye kiya ekyc si ke drhu pement ho gaya tha bas aadhar link mobile no par otp aani thi or net disconnect hohaya or mera pement chala gaya mere pass nahi tokan no he nahi aokgment no ab me kya karu sir plz help sir

    • HindiHelp Guru

      Aap nsdl customer care Contact Number 020 – 2721 8080, Mumbai – 400 013. Tel. : (022) 2499 4200. call kare.

  • Jasim khan

    Thanks sir meri help krne ke liye

  • kiran

    sir maine pan card 19-12-2016 ko apply kiya tha lekin ab tk koi pata nahi he ki bana bhi he ya nahi to kaise pata karu application number U-608432770

    • HindiHelp Guru

      Pan Card Bana Ki Nahi wo pan card status check karne ki link article me di hai.

  • Jasim khan

    Sir jo box father name ka waha to father name hi to pdega
    उस पर लिखा भी है अगर शादी हो गयी है फिरभी पिता का ही नाम डाले
    लेकिन husbend नाम का कोई फोल्डर भी नही है तो सर husbend नाम हम किस middle वाले बॉक्स मे डाल दे

    • HindiHelp Guru

      aap pahli images me dekhe, yahan option 3 pe last me middle name hai. aur dusari images me bhi jahan option 3 diya hai wahan aap pan card ke liye Name choose kar sakte hai.

  • Jasim khan

    Sir hmko apni Mother ka pan card apply krna he to unke father ka name daale ya Husband ka
    Lekin sir unke father ka name daal denge to pan card pr father ka hi name likh kr aayega isse koi preshani to nhi hogi baad me

    • HindiHelp Guru

      Aapko Do option Milte Hai. ek me aapko Father Ka Name add karna Padega. dusara aap Pancard par Show Name Kya Karvana Chahte Hai vo. Aapko Middle Name Me Husband ka hi name add karna hai. aur wohi pan card pe aayega. aur parents name ke Option me father ka name add karna hai. Pan Card Pe kaun sa Name Aayega, Isake liye Option diya Hua Hai.

  • reshma

    Online Apply karne ke bad Pan card Milega Kaise ?

    • HindiHelp Guru

      Pan Card Ke Liye Online apply karne ke bad aapko 1 month ke aaspas POST se pan card bheja Jayega.

  • rohit khanal

    mera small brother pan cart banana ha sabse pahele muje kiya Lorna hoga

    • HindiHelp Guru

      Online Pan Card Pane Ke Liye Aap Article Ko Pura Padh Le. Aur bad me Step by Step Follow Kare.

Leave a Reply