Online SBI Net Banking Activate kaise kare in hindi

-

How to Activate Online SBI Internet Banking In Hindi Jankari. SBI Net banking Online registration kaise kare. Online Banking Shuru Karne Ka Tarika. Step By Step process Information. Banking Online Banking se Ab Koi Anjan nahi Hai. Aap Online Banking activate Karke Bank Ke Kai Kam Ghar baithe Kar Sakte Hai. Isase Aapko Kabhi Bank Branch Jane Ki Jarurt Nahi Padegi. Online Banking registration Karna Bahot Hi Aasan Hai. Kya Aap Bina SBI Bank Branch Gaye Bank Services Ka labh lena Chahte Hai ? kya Aap SBI Internet banking Use karna Chahte Hai ? Agar Aap SBI Net Banking Activate Karna Chahte Hai to Is Article Me Step by Step registration process – Tarika Bataya Gayi Hai. Aap Kuchh Simple Step Follow Karke SBI Net Banking Activate kar Payenge.

SBI Net Banking Se Aap Online ATM Card PIN change, Online ATM – Debit Card Apply Kar Sakte Hai. New ATM Card Password Bhi Generate kar Sakte Hai. Balance Check Karna, Money Transfer karna Bhi Easy Ho Jayega. Apane Bank Account Ko Aadhar Card Se Online Link Kar Sakte Hai. SBI Net Banking Activate karke Pan card Number Bhi Bank Account Se Link Karna Simple Ho Jata Hai.

Aap Is Tarike Se Ghar baithe, Bina Branch Gaye Internet Banking Activate Kar sakte Hai. Ab Aapko Net banking Form Fill nahi Karna Hai, Net Banking sbi net banking request Application Submit Nahi Karni hai. bank Se User Name aur Password – Pin Bhi nahi Lena Padega. Sabi Net Banking Activate Process Online 2-3 minutes Me Ho Jayegi.

Online SBI net banking activate in Hindi

Follow This Step:

  1. Visit Onlinesbi Website
  2. New use Registration pe Click kare.
  3. OTP Milega, Ise enter kare.
  4. Select Option  online registration without branch visit
  5. Verify ATM Card
  6. Pay Online transaction Rs. 1
  7. Create Own Password
  8. Reset Your User Name And Password
  9. Don… !!!  Your SBI Net Banking Activate

Step : 1

  • sabse pahle Online SBI Website pe Jaye.
  • yahan aapko New User Registration Ka Option Milega. Ise Click Kare.

online sbi new user registration

Step : 2

  • Ek Popup Page open Hoga. Ek Form Jaisa Hoga Isame Jaruri Sabhi Details Enter Kare.

online sbi net banking activate kaise kare
1. Account Number : SBI Bank Account Number Enter Kare.
2. CIF Number : Bank Passbook Me se CIF number Add Kare.
3. Branch Code : Passbook Dekhe. 1st page Pe Diya Hai. wo Branch Code Likhe.
( Last Me Brach Code Generate Karne Ka Option Diya Hai. vahan Se Bhi Mil Jayega.)
4. Country : Apane Dhesh – Country ka Name ( India ) Select Kare.
5. Reg. Mobile Number : Bank Account Se registered Mobile Number Ad d kare.
6. Facility Required Me ” Full transaction Right ” select kare.
7. image me Diya Security Code Dekhke Enter Kare.
8. Submit Pe Click Kare.

Step : 3

  • OTP enter Kare.
  • Confirm Pe Click Kare.

( Submit Pe Click Karne Ke bad Aapke Bank Account Se registered Mobile Number Pe SMS Aayega. Isame OTP Hoga. ye OTP Enter karna Hai. agar Otp Na Mile To Resend SMS Ka option milta Hai. )
online sbi activation

Step : 4

Ab Naya Page Open Ho gaya hoga. Isame Aapko 2 option Dikhai Denge.

  • Isame Se I have my ATM Card (online registration without branch visit) select kare.
  • Submit Pe Click Kare.
    sbi activate karne ka tarika

Step : 5

SBI Net Banking Activate karne ke liye Is Step Me Aapko ATM Card se Account Verify karna Hai. Matlab Aapko yaha ATM details Add karke sirf Rs.1 ka transaction karna hai. Baad yah Rs.1 aapke account me credit ho jayega.

  • Card Number: isme apna ATM/Debit card number dale.
  • Valid thru / Expiry Date: Yaha apne atm card ka expiry month or year select kare.
  • Cardholder’s Name: ya apna naam dale.
  • PIN: isme aapko ATM pin code dalna hai.
  • Enter the characters: isme jo niche Captcha code hai vodale.
  • Submit: Sab sahi dalne ke bad last me Submit button par click kare.

internet banking atm verify

Step : 6

  • Is Step Me Aapko Transaction Ki Billing Information – Payment Information Dikhai Degi.
  • Aapko Sirf Pay Pe Click Karna Hai.
    verify atm card

Step : 7

  • Is Step Me aapko Temporary Net banking User Name generate hoke Mil Jayega. Ise note kar le.

Note : Generated User Name Aapke Mobile Pe Bhi Aayega.

Ab Aapka Password Create Karna hai.

online sbi reset password

  • Enter New Login Password aur Confirm New Login Password dono Box me  same Password enter kare.
  • Bad Me Submit Pe click Kare.

don.. !! Aapne successfully Sbi Net Banking Activate Kar Liya Hai.

step by step online sbi banking

Step : 8

Ab aapka Online SBI Net Banking Activate Ho gaya Hai.  apne Temporary user Name and password se Net banking me login karna hai.

Note :

  • First time Login karne ke bad aapko apna user name aur password create karna hai jo aapka permanent hoga. Isliye user name aur password soch ke dale.
  • Password me alphanumeric character and number hone chahiye jaise Online#123 is type ka Password case sensitive hota hai.
  • Uske bad aapko profile password create karna hoga profile password aur login password different hona chahiye.
  • Or aapko security question select karke uska answer fill up karna hai.

SBI Net Banking Activate FAQ Hindi

1.  SBI Internet Banking Ka Charge Lagata hai ?

ans : nahi koi Charge Nahi Hai. Aap Sab Kuchh Free use kar sakte Hai.

2.  Online Banking Ka Password Bhul gaya Hu. Kya kare ?

Ans : Aap Password Fir Se generate – reset kare.  Mobile Number Pe OTP aayega. agar mobile Number Nahi Hai to Profile Password Se New Password Create Kare.

3.  SBI Internet banking Safe hai ?

Ans : yes, SBI Sabse Best aur 100% safe And Secure services provide karti hai. but Aapko Bhi Kuchh Jaruri Baten Yaad Rakhni hogi. Jyada Jankari Ke Liye Padhe : Online banking Seft – security Tips

4. Passbook Me Cif Number nahi Hai to Kya kare ?

Ans : Shayad Cheque Book Pe Dekh le. agar nahi hai to Bank branch me Jaye. aur Pata kare.

5. registered mobile number ke Bina Online SBI Net Banking Activate kaise kare ?

Ans : Sorry , Aapke bank Account Se Mobile Number registered Nahi hai to Aap Online SBI Net Banking Activate Nahi Kar sakte. Aapko bank Branch Me Jana hoga aur Mobile Number Link Karvana Hoga.

6. Online SBI Internet Banking register nahi ho raha hai ?

Ans : Kai bar Online SBI Ka Server Down rahata Hai ya Fir website Pe koi kam Shuru ( technical problems ) hota hai tab Aap website ko assess nahi kar pate Ye Problem Bhi hoti hai.  ya Fir Aapke bank account me Security Problem Ki vajah Se bank Bi Block Kar Sakta hai. ya Fir Aap Sahi Step Follow Nahi kar rahe Hai.

7. session has expired please try again ? What should we do ?

Ans : jab Aap Online sbi Website Pe SBI Net Banking Activate karne Ka Prayas karte hai tab Aapko time Diya Jata hai. Agar Aap bar bar Koi galat details ya Activities karte Hai to ye Problem Hoti hai. Server Down hone ki Vajah Se Bhi Ye Problem ho sakti hai. wait kare, fir Se Try kare.

Extra Inning :

Aapko Ye Article ” SBI Net Banking Activate kaise kare ” kaisa Laga Jarur Bataye.

Social Media Me Share kare aur Dusaro Ki Bhi Help Kare.

Agar SBI Net banking Activate Me Koi Problem Aa rahi hai to Comment Me Jarur bataye.

Daily Updates pane Ke liye HindiHelpguru FB Page Jarur Like Kare.

Recommended for You
You may also like
Share Your Thoughts

23 comments

  • Raoji

    Internet banking k liye Aacount me signature or date of birth Add hona jaruri hai Kya sir

  • Mukesh

    sir me koi bhi rechage karta hu to ye batata he trnsaction fcility not available in minor accounts.

    • HindiHelp Guru

      AApko Bank Branch me Jana hai, aur Ye Baat Batana hai. aapke account se online Transaction ko allow kar diya jayega.

  • Mukesh

    sir mene bina atm ke username ki id bana li he or muje username or registration from bhi mila he registration from mene bank me jakar jama kara diya ab 3 day ho gye ab aage kya karu…….

    • HindiHelp Guru

      wait kare, bank se Aapka Net Banking Allow kiya jayega. aap login kar payenge.

  • PRASHANT

    Agar atm na ho toh kaise activate kare

    • HindiHelp Guru

      agar atm card nahi hai to aapko banck branch me jake Activate karna hoga.

  • Rohit khanal

    Sir mujhe online se netbanking banana hai keise prapt kare user name our password by online email

    • HindiHelp Guru

      Agar aap SBI ka Online Net Banking Use Karna chahte hai to Aapko first time bank branch me jana padega. vahan form fill karna padega. baad me aapko User Name aur Password Diya jayega.

      isake alava Aap chahe to google play store se sbi mobile banking ki koi app install karke Use kar sakte hai.

  • jitendar

    Sir abhi mai apna internet banking registration pure ho gya hai sms me user name hai to abhi kya karu login nahi ho rha hai invaild user name bra the hai

    • HindiHelp Guru

      is Article me bataye sabhi step follow karo. fir bhi koi Problem aa rahi hai to bank brach me jana padega.

  • Ravi

    Bina atm card ke kaise online net banking open karu bina bank me jaye

    • HindiHelp Guru

      Ye Turant Nahi hota, Isake Liye Aap Pahle se Net Banking Use karte Hone chahiye, aapke Paas Isaka User Name aur Password Hona chahiye.

  • Vishal Sharma

    sir mai apne pass book se cif no. dala to galat bata raha hai

    • HindiHelp Guru

      aapne galat hi dala hoga. fir se try kare. kai bar bank account Number change hota hai par cif change nahi hota.

  • Sujit

    Sir mai online internet banking ka sara process registration kar liya but mai login karta hu kindly contact to branch dikha rha h jabki mene temp username aur register karte samy jo password diya tha whi password se login kar rha hu

    • HindiHelp Guru

      Aapane Temporary User name aur Password kitane time me use Kiya Tha. ? Ho sakata hai aapke Account me Onl9ine Banking Kisi Vajah se deactivate kar diya Gaya Ho. aapko Bank Branch Me jana Chahiye.

  • Sanjana

    If all this is going to be processed then only net banking will be started or it will take time.pls reply

    • HindiHelp Guru

      No, take time. activate Online Banking Immediately.

  • Udayram Gurjar

    Sir mene internet banking ke liye online apne account no.cif no.mobael no. Bank code sabi bar diya our submit bi kar diya our otp bi dal diya magar wah wasa se aage nahi bad raha hai hai our kuchen….user driven ragistar ,,,,,,likha aa raha hai sir me kese aage badu

    • HindiHelp Guru

      Kuchh Der Bad Fir Se Prayas kare.

  • krishna ojha

    Dear sir Maine sbi Internet banking online kar chukka hu
    Password Aur user name Log in karne par invalid bata raha hai

    • HindiHelp Guru

      Matlab Aap SBI Internet Banking ka Login Username aur password Bhul Gaye hai. aap online sbi website se aapke account ki details add karke forget password fir se setup kar sakte hai. ya fir aapke bank branch me jaye aur apply kare. aapko fir se user name – paasword generate kar diya jayega.

Leave a Reply