Debit Card vs Credit Card Dono me Kya Difference Hai

-

Jab se Banking Services digital ho rahi hai, log Debit Card , ATM, credit Card Ka Use Karne Lage Hai. fir bhi kai log confuse Hote Hai Ki ATM – Debit Card Kya Hota hai ? Credit Card Kya Hota Hai. Debit Card Aur Credit Card Dono me Kya Antar Hai ? Ye Samajna Jaruri Ho jata Hai. Is Article Me HindiHelpGuru ne difference between Debit Card vs Credit Card in hindi language me Bataya Hai.

Debit Card, Credit Card Aur ATM Kisi Bhi Bank Customer Ko Online Ya Offline Apply Karne Pe Milta Hai. Isase Aapke Kai kam easy Ho jate Hai.

Aapke Pas Bank Ka Diya ATM Card Jarur Hoga. Ise Kuchh Had Tak Debit Card Bhi Kaha Jata hai. Kai Bar Aap Online Payment karna Chahe to Kai Card Se Nahi Ho pata Hai. Online Payment Ke Liye Invalid ho jata hai. Aisa Kuchh ATM Card Me Hota hai. Debit Card Se Aap Online Payment, Money transfer For Other banks Kar Sakte hai. Credit Card Se Aap Ko Bank Ki Or Se Credit Milti Hai. ye sabse bada Difference Debit Card vs Credit Card me hai.  Matlab Aap bank se Udhar leke Bhi kisi Bhi Chij Ko Kharid Sakte Hai.

Cedit Card Kya Hota hai ?

Credit Card ek aisa Card hai Jiske Hone Pe Hamare Pas yadi Account Me paise na Ho Fir bhi Credit Card ki Help Apane Paise Se Related jarurato ko Pura Kar Sakte hai. matlab Credit Card ek aisa Card Hota hai Jisake Hone Pe ham Ek Limit Se milne wale Advance ke Paise ko Fixed Time tak kharch kar sakte hai. aur diye gaye Time Period ke andar hame Bank ko chuka de. short me kahe to Cedit Card Hamari credit hai.

Debit Card Kya Hota hai ?

ye Debit Card ek aisa Card hai jo jeb – pocket me bina paise Debit Card ke madhyam se paiseo ko ATM Machine se jab chahe nikhal sakte hai. is Card se ham utane hi paise apane Account se nikal sakte hai. ki Jitane paise hamare bank Account me Balance Available hota hai. koi bhi chij ko online shopping kar sakte hai. bill ka payment kar sakte hai.

Debit Card vs Credit Card me sabse bada fark bank account me jama paisom ka hai. ek me hamare paiso se kam chalana padta hai. dusare me bina paise bank ki credit chalti hai.

Type Of Debit Card :

1. Master card
2. Maestro Card
3. Rupay Card
4. Visa Card …Etc.

Difference between Credit Card and Debit Card :

Agar App Ye Sab Padha Hai to Aapko Malum Ho gaya Hoga Ki Credit Card Aur Debit Card Me Kya Fark – Antar Hota Hai. Fir Bhi App Ise puri tarah Se Samaj le.

Debit Card vs Credit Card : Hindi

  • Debit Card Se Bank Account me agar paise nahi hai phir bhi payment, online shopping kar sakate hai. Jab Ki Account Me paise Nahi Hai yo Debit Card Kam Nahi Karega.
  • Debit Card Se Bina Paise Aapka Kam Ho Jata Hai. But Bad Me Paise Account Me Jama – Credit Karne Padte Hai. Debit Card Me Isaki Koi Jarurat Nahi Hai.
  • Credit Card Me Aapko Bina Paise koi bhi Payment Kar Sakte Hai. but Isaki Limit Hoti Hai. Debit Card Me koi limit Nahi Hai. Aapke bank Account Me Jabtak Paise Hai. App Kharch Kar Sakte Hai.ye.  Debit Card vs Credit Card ka Useful difference hai.
  • SBI Aur Other Banks Pahli Bar Aapko Free me Debit Card Deti Hai. Bad Me kuchh Charge leti Hai. Credit Card Free Nahi Hai. Iske Liye Bank ko charge Dena Padta hai.
  • Credit Card ke Liye application fee, annual fee aur monthly rate (2.5-3% SBI ), credit carry forwards ka Charge liya Jata Hai. Debit Card Me Ye Nahi Hota.

Extra Inning :

Debit Card vs Credit Card me antar aapko samaj aa gaya hoga. credit card kaise Milega. ? agar aap chahe ki mere pas bhi ek credit card Hona chahiye to mil sakta hai. but kuchh sharte bhi hai.

  • Bank Me account Hona chahiye.
  • aap company ke Employee  ya fir Business se jude hone chahiye.
  • Aapke accounts Me per month Fixd Salary honi chahiye.
  • Account me Achha Transaction Hona jaruri hai.
  • Citibank Net Banking Activation Kaise Kare ?

Aapko ye article ” Debit Card vs Credit Card ” Difference Kaisa Laga Jarur Bataye. apane dosto ko bhi share kare.

Recommended for You
You may also like
Share Your Thoughts

Leave a Reply