Aadhar Card Online Download kaise kare in hindi

-

How to Download Aadhar Card online in Hindi ? Jankari. Aadhar card Ab Jaruri Document Ban Gaya Hai. wo ek aisa Proof Hai jo sabhi jagah kam Aa sakta hai. Agar Aapko Aadhar Card Nahi Mila Hai aur Aap Original Aadhar Card Copy Download Karna Chahte Hai to Aapko Mil Sakti Hai. Ek Reader Ne Kal Puchha Tah : ” Mera Aadhar Card Kho gaya Hai, Gum Ho gaya hai. Dusara Aadhar Card Muje Kaise milega ? ” Fir Se Aapko Aadhar Card Online Download sakta Hai. Isake liye Aapke Pas Aadhar card Number (Unique ID ) Ya Fir Eid ( Enrollment ID ) ki Jarurat Hoti Hai. Aap Coloring Aadhar Card PDF me Download Karke Print Kar sakte Hai.

Online Aadhar Card Download Karne Ke liye Kya Chahiye ?

  • Aapke Pas Pahle To Android Mobile ya Computer aur internet Connection Chahiye
  • Aadhar Card Online Pane Ke liye Aapke Pas UID aur EID Hona Jaruri Hai. UID aur EID Kya Hai ? padhe :

Aadhar Unique ID Means:

Aadhaar card par diye gae 12 digit number ko UID (Unique ID) kehte hai. Aadar card Number Bhi kahte  hai. UID ka isitimaal karke aadhaar card Download nikalne ke liye aapka mobile number aadhaar card ke sath juda hona jaroori hai, agar aapka mobile number nahi juda hua hai to aap EID ka use kar sakte hai.

Enrollment ID means:

aadhar card inrolment number kya hota hai

EID ko hum Enrollment ID bhi kehte hai. Ye Id aapke enrollment form par likhi hoti hai. Enrollment form wo form hai jo aapko Aadhaar card banawne ke baad diya jata hai. Hum is form par likhi poori id cahiye hogi, poori id me EID ke saath saat date aur time bhi hota hai.

Aadhar card online download in hindi

Agar Aapke Pas Ye Sab Hai to Ab Ready Ho jaye Aadhar Card Online Download Karne Ke Liye. yahan Hindi Help Guru Ne Do option se Aadhar Card Ko Online Download Karne Ke Tarike Bataye Hai. Aap Is Step ( Tarika ) Ko Follow Kare.

Option : 1 : Enrollment ID Se Aadhar Card Download Kare.

Sabse Pahle eAadhar government Pe Jaye.

Click : Online Aadhar Card Download

Ab Website Page Open Hoga Isame Sabse Pahle Aapko 2 Option Dikhai Denge. Isame se..

1. Aapko 1st option ” I have* Enrolment Id ” ko Select Karna Hai.

Bad Me Diya Hua form Aapko Dikhai Dega. Isame Enrollment form me se dekhkar Sabhi Details Add Kare.

Aadhar card Online download tarika
2. Enrolment Number aur Date and Time Add Kare.
3. Aapka Full Name Jo Enrolment Form Me Hai wo Likhe.
4. Aapke Area/city ka PINCODE Likhe.
5. Images Me text Di hai wo Likhe.
6. Aapka Ya fir Family Member ka Mobile Number add Kare. ( Isame OTP SMS Aayega. )
7. Get One Time Password Button pe click Kare.

Ab aapne jo Mobile Number add kiya hai wo number ke 6 digit OTP ( Password ) Aayega.

8. 6 digit OTP ko enter Kare.
9. Validate & Download Button pe click Kare.

Agar aapke sabhi details sahi bhari hogi to click karte hi Aadhar Card Online download ho jayga.

Ye Bhi Padhe :

Note : Download kiye gaye Aadhaar card ko Open karte Time computer aapse password poochega. Ye password jo aapke upar form me aria / city ka PIN code add tha, wahi PIN code is form ka password hai.

Aadhar PDF Open Password

Option : 2 : UID / Aadhar Number Se Aadhar Card Download kare.

Agar Aapka Aadhar Card Kho gaya Hai ya Fir instant Aadhar Card Ki Jarurat Hai to app Is Option Ka Use kare. Isake liye Aapko Aapka Aadhar Card Number ( UID ) Malum Hona Chahiye. aur Aapka Mobile Number Aadhar Card Se Link Hona Chahiye.

Sabse pahle Online Aadhar Card Website Pe Jaye.

Ab Aapke Samane Ek Page me Form Open hua hoga . ise fill karna hai./

Online aadhar card print tarika hindi

1. I have* Aadhar “ Select Kare.
2. Aadhar Card Number (UID)  Add kare.
3. Aapka Full Name Like. ( Jo Aadhar card Me likha tha.)
4. City – area Ka Pincode add kare.
5. Images text ko add kare.
6. Get One Time Password Button pe click Kare.

Ab Aapko Mobile Number Confirm Ke Liye Puchha Jayega.

link mobile number aadhar card
Confirm Button pe click kare. Aapke Aadhar card se link Mobile Number Pe Message Aayega. Isame one Time Password ( OTP) Hoga. Dekh le.

7. SMS Me Aaya OTP Enter kare.
8. Validate & Download Button pe click Kare.

Ise Click Karne Pe Aadhar card Online Download Ho Jayega. PIN Password se PDF File Ko Open Kare. color Printer se Print Kar Le.

Useful Article :

Extra Inning :

Is Tarah Aap 2 option Use Karke Apana Aadhar card Online Download and Print Kar sakte hai. agar Aapko Is Prossec Me Koi Problem Aaye to Comment Me Jarur bataye. Isake Siva Bhi Aapke Saval honge ki Bina Mobile Number Aadhar card online download kaise kare. mera inrolmant Nahi hai to Aadhar Download hoga ya Nahi ? Aadhar card Me Name – birth Date Change Kaise kare? … etc. to comment me bataye ham is Problem ko solve karenge.

Aapko Ye Article – Tarika ” Aadhar Card Online Download Kaise kare ? ” kaisa Laga Jarur Bataye. apane Friends Ko bhi Share Kare.

Daily New Updates pane Ke liye HindiHelpGuru Facebook Page Like Kare.

 

Recommended for You
You may also like
Share Your Thoughts

35 comments

  • vikas yadav

    sir totp ka niyam lagu hai to abhi naye tarike se kaise aadhar donload kare please help me

    • HindiHelp Guru

      sahi tarika yahan bata diya hai.

  • MN Hemant

    Kya main apne Mobile se Aadhaar Download Kar sakta hun. Really, kaphi achha laga… Thanks.

  • Nimesh Rathid

    JEE exam hall mai kya lekar jaye

  • Sujit

    Sir,
    Riset hua aadhar card ko download kaise kare?

    • HindiHelp Guru

      Riset matlab ? aadhar card download karne ka tarika yahan bata diya hai.

  • prakash chandra dhiwar

    area code dalne par bhi download file open nhi ho raha hai sir kya karein

    • HindiHelp Guru

      Aapke najdik ke kiisi area ka code try kare. ( shayad aap galat PIN code Istemall kar rahe hai. ) Aadhar card ke liye jo Pin code diya hai wo try kare.

  • suresh

    Sir adhar card pdf file me download ho geya Hai . me password​ me area ka pincode de raha hu bo password ko incorrect dekh rahi Hai kiya pbrlm ho rahi Hai ……..sir plz answer me…

    • HindiHelp Guru

      apke najdiki area ka code dal ke try kare.

  • Md Imtiyaz

    Area pincode dalte hai to aadhar open nahi ho raha hai meri help karen

    • HindiHelp Guru

      ye koi problem nahi hai. shayad aap galat pincode use kar rahe hai ya fir server error aa raha hai.

  • Abrat

    Yaha pe jo hm likhte hai wo dikhta hi nahi hai aiesa kyu hota hai

    • HindiHelp Guru

      Aisa kuchh nahi hai. Comments approv hone ke bad show hota hai

  • gobinda raj chouhan

    sir mere adhar card abhi tak nahi aya hai 3 month ho gya hai net se to nikal liya pr sarkarse abhi tak nahi aya…

    • HindiHelp Guru

      Net Se Nikal Liya Hai to Isaka Use Karo.

  • Nishant Shukla

    Sir isme downloaded PDF file ko open karne ke liye password mang rha hai to us password me kya likha jayega…???

    • HindiHelp Guru

      Aapke Area City Ka Pincode Dale. Wo hi Password hai.

  • qamrealam

    Adhar download kar raha hu to pin code ke jagah par pin code likha hi nahi raha hai

    • HindiHelp Guru

      Mobile Me Kai Bar Ye Problem Hota Hai. PC m Nahi Hoga. PC me Bhi Ho Raha hai to ctrl+f5 press karke reload Kare.

  • Biswajit

    Adhar card pe agar mobile number register hi ni hoga toh new kaise add kare.

    Adhar par email id verify karenge toh uspar otp ka code ayga.

    • HindiHelp Guru

      Email Verify Ka Option Available Nahi Hai , aapko Pahle Mobile Number Ko aadhar Me add Karna Padega.

  • Biswajit

    Adhar card pe jo mobile numbe diya hua tha wo band ho chuka hai.Ab mere ko new mobile number add karna hai aur adress change karna hai kaise karu apne mobile se.Plzzz suggest me step by step.

    • HindiHelp Guru

      Aap Aadhar Card Ki website Par jaye Yahan Ye option Diya Hua Hai. Ya fir Aapake najdiki aadhar center par jaye.

  • BALRAM

    download pr clack kar rha hu par download nhi ho rha h ya to mil nhi rha hai kha se dundhu kii chij dikha bhi nhi rha h huaa download ya nhi ho rha h ya nhi

    • HindiHelp Guru

      aap Browser Ke Download Page Me dekhe. vahan Download Dikhai Dega. Ise right click karke Open Connected Folder ka Option Click Kare. ya fir my Computer me Jake Download file me check kare.

  • Ravi singh

    Download adhar ko exam center par valid nahi kar rahe hai bol rahe hai eadhar not valid sir bataye please original adhar kaise milega

  • Anurag Gupta

    Sir maine aadhar download karne ke leye pura process kiya lekin jese hi otp per click kiya wese hi captcha code change ho ja raha hai aur mobile per otp bhi nahi aa raha hai. Please help me.
    Thanks.

    • HindiHelp Guru

      Matlab Aap Galti Kar rahe Hai, Ya to captcha code galat Dal rahe Hai ya Fir aur koi Details Galat Hai.

  • Rahul

    Adhar Card Kya Post pe Aaiga ya…print karna padega… please bataye

    • HindiHelp Guru

      Aadhar card Post Me aata Hai – Apply Karne Ke Bad 1 month me. Agar Aapo turant Aadhar card Chahiye to Isaki Copy Article Ke Bataya hai is Tarah Nikal Sakte hai.

      • gobinda raj chouhan

        mera adar card abhi tak nahi aya 3 mahina ho gya kb taak aa jayega..

        • HindiHelp Guru

          Is Article ko Follow Kare aur Download kare.

  • jay

    bahut hi achhi jankari di he aapne .its a very helpful article sir thanks for sharing this information

Leave a Reply